Tuesday, August 11, 2015

Cat's Chord Talisman


Aaj kay is Mehangai bharay dor main har shaks Maali parayshani main ghira hoa nazar aata hai, Karobari parayshania, Karz ka boj, Ghar wa Family ka kharch etc, Har dosra shaks Gorbat wa fikar kay daldal main dhansta chala jaata hai woh apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay is daldal say osay nijat milay magar jab osay koi raasta nazar nahi aata to woh suiside karnay par majbor hojata hai ya phir galat na jaiz aur haram tarikon say jald ameer bannay kay tarikay dhondta hai jis say woh sirf dunia main mojrim nahi banta balkay mazhab say bhi kat jaata hai, duniawi aur akhrat dono ki zindagi oskay liay jehnam ban jaati hai, woh din ba din haywan banta chala jaata hai aur haywani khuwaishat osay shaitan bana deti hain, mera is tarah kay shaitan logon say bazar main samna hota rehta hai jo kafi mehangi cheezay sell kartay hain aur ramzan jesay pak aur muqadas mahinay ka lehaz tak nahi kartay jhooti kasamay kha kar jhoot bol detay hain, is say menay yeh ghor kia kay yeh bhi aak marz aur bimari hai jo virus ki tarah pheli hoi hai aur kai log is bimari main mobtala hain,
Allah pak nay har Bimari aur marz say nijat aur shifa kay liay kai cheezay dunia main peda ki hain jis kay istamal say insan bari bari bimario aur amraz say nijat hasil kar leta hai, aysa tab mumkin hota hai jab insan Allah pak ki banai dunia main ghor wa fikar karta hai aur apni zahanat aur tajarbat say aysi aysi medicines banata hai jo bimario main shifa deti hain,
Same isi tarah Karobari parayshania, Bandish, Gorbat, Karz, Fikar wa Faka bhi bimaria aur amraz hain jistarah bimaria zindagi ka hisa hain aur har insan bimar bhi hota hai aur shifayab bhi hojata hai isi tarah yeh parayshania bhi insan ki zindagi main aati hain theek hojati hain to kabi theek honay ka nam nahi leti balkay barhti he chali jati hain, jismani bimario aur amraz say shifa kay liay hum medicines kha kar theek hojatay hain magar karobari parayshania wa bandish, gorbat, fikar wa faka jesi bimario say nijat kesay mumkin hai iskay baray main yahan main aap kuch share karnay jaraha hon,
Maali parayshani, rupay pesay main tangi, karobar aur rizaq main barkat ka na hona aur bandish ki kai wajohat hoti hain jo sitaron kay boray asrat ki waja say hoti hain ya phir jaadu kay bad asrat say ya phir kisi ki nazar e bad ya hasad say bhi ya phir kisi manhos ki nahosat say, saaya ya jinat kay boray asrat say bhi hoti hain, in sub say nijat hasil karnay kay liay sadion say humaray bozrog jo rohaniat main ghor wa fikar kartay hain aur apnay tajarbat say aysi aysi cheezay ya rohani medicines banai hain jis kay istamal say hum in sub rohani bimario aur amraz say nijat hasil kar saktay hain aur in khas cheezon ya medicines ko "TILSIM" kaha jaata hai aur aaj main in bari bozrog hastio kay Nayab Tilsimat jo seena ba seena muntakil hotay hain kisi say share nahi kiay jaatay in Tilsimat main say Aak Azeem Tilsim yahan aap say share kar raha hon jiskay istamal say karobari parayshania, rupay pesay ki tangi, bandish, gorbat, karz wagayra jesi maali parayshanio say nijat hasil hojay gi.

Yeh nayab Tilsim Cat yehni Billi main say hasil hota hai aur is Tilsim ko Billi ki Naal, Billi Ki Jer, Billi ki oor ya Billi ki Anool kehtay hain aur English main isay Cat's Chord ya Cat's Umbilical Cord kaha jaata hai, 
Arabic ki qadeem Books main is tilsimat kay mutalik olma e batin nay kafi detail say likha hai aur iskay azeem asrat jo insan ki zindagi main khushali latay hain oskay mutalik kafi kuch bayan kia hai, yeh Dast e gayb ka aysa zabardast tilsim hai jiski jitni bhi tarif ki jay kam hai, Arabic ki qadeem kitab "Pordmamanishas" main Aamir bin Hayan Al-khulani nay is Tilsim ki tafseel istarah likhi hai kay Jab Aftab Borj Sabit may Mashtari motkaran hoto os waqat kali Billi ki Anol lekar osay khushk karkay osay musk wa saffaron say dhoop dekar sonay kay banay taweez kay khol main dal kar galay ya baazo main bandh lay, is tilsim kay asrat say os shaks ki tamam karobari parayshania chand he roz main dor hojati hain aur dekhtay he dekhtay oskay halat behtar say behtar bantay chalay jatay hain  aur osay apnay gorbat aur parayshani kay din yaad tak nahi rehtay kay kabi woh gareeb tha, rizaq main barkat, maal wa zar main taraqi kay sath oski izat wa aabro main bhi izafa hota hai, rizaq e hilal aur maal ki kasrat say oski zindagi aysh wa ishrat say gozarti hai, woh aysa gani hojata hai kay khuda kay siwa woh kisi ka mohtaj nahi rehta,
Kitab "Pordmamanishas" kay ilawa Arabic ki qadeem kitab "Kabeer Imam" main Abu Tayb Salah Kaldi is tilsim kay mutalik farmatay hain kay yeh tilsim bala shak wa shoba rizaq, maal wa zar ki kashaish kay hasool kay liay kamiab wa bay khata tilsim hai jisay akabar olma e rohaniat nay amal wa tajarbat kay meezan par tol kar aak mowasir tilsim kay tor par taslem kar lia hai, kitab "Yanabeh Al-Tilsimat" may Qazi Saad is tilsim kay silsilay main yeh kol bayan farmatay hain kay maal wa maash barhanay aur khushali kay liay yeh tilsim nihaet sacha aur dorast hai aur istarah kay amliat main say sub say barh kar ajeeb al-asar aur kaseer al-fowaid khusosiat ka hamil hai, isitarah kitab "Asar Al-Aadad main Hakim Taaos ibn Tarmah likhtay hain farakhi rizaq kay yeh tilsim apnay hayrat angayz kamalat kay sabab aak aysa akseer al-asar tilsim hai jiskay mokhfi asrat ka har olma e tilsimat har tabkay aur mazhab ka kael hai, Kitab "Al-Ajaib Al-Garayab" main Qazi Abdul Rehman Sharani nay bhi is tilsim ko olma e tilsimat wa rohaniat kay aak mastand wa mojrab tilsim kay tor par bayan kia hai, Shaikh Kays bin Tarfa Bolani apni kitab "Taalikat" may tehreer farmatay hain kay farakhi rizaq kay silsilay ka yeh tilsim tilsimati nawadrat may aak azeem tarin amal kay tor par maqbol wa marof hai jisay oloom e mokhfiat wa rohaniat kay muslima olma nay farakhi rizaq kay silsilay kay tamam tar aymal main bator e khas aak la jawab wa bay misal amal kay tor par motwatir nakal hai,
Kitab "Risael Halalia" may is tilsim ko Siahtos sani mashor kaldi sahir kay aak mojrab wa azmoda tilsim kay tor par bari tareef kay sath bayan kia gaya hai, Kanian bin Anosh apni kitab "Kasaid" may is tilsim kay mutalik tehreer karta hai kay yeh aak aysa tilsim hai jiska mainay khud tajorba kia hai aur isay sahi paya hai, kasaid jesi mashor tarin kitab may kanian bin anosh jesi azeem shaksiat ka is tilsim ko sahi kehna iski afadiat ko wazay karnay kay liay kafi hai, kitab "matalab Aleon" may is tilsim ko imam Harmis say mansob kar kay naqal kia gaya hai, Kitab "Shamael Al-Sehar" may is tilsim kay mutalik likha hai kay taraqi rizaq kay liay yeh tilsim fe haqeqat aak asar afrin tilsim hai jo kabhi khata nahi karta, kitab "Mukhtar Al-Hakam" may Hakim Jalineos bhi apnay mojarbat may is tilsim ko rizaq may taraqi aur dafa e fikar wa faka kay liay sahi wa mojrab aur asar angayz kay tor par tehrer farmatay hain,
Itnay olmao aur motbar hastio ka is tilsim kay mutalik apni kitabon main likhna yeh zahir karta hai kay is azeem tilsim main zaror aysa asrat hain jo insan ki bori kismat ko khushhal bana detay hain,
Yeh Tilsim khud mainay apnay liay bhi hasil kia aur iskay zabardast mokhfi asrat ka may khud kael hon, is tilsim ki madad say mainay kai kam kiay hain aur aab bhi karta hon, is tilsim ko hasil karnay say pehlay menay is tilsim kay mutalik kafi sona aur parha tha aur meray dil main yeh khuwaish peda hoi kay meray pas bhi yeh tilsim ho, menay kai logon say yeh tilsim mo mangay peson say kharida bhi magar woh sab fake aur jali thay woh checharay thay jis say koi faida to na hoa khud olta noksan othana para pesay aur waqat barbad hoa phir menay socha kuo na may khud is tilsim ko hasil karnay ki koshish karon aur phir meray gao(village) main meray jannay walon ko pregnant billi ki talash par laga dia, akhir onko pregnant billi mil gai meinay os billi ko cage mein dala aur mein bari bay sabri say intazar karnay laga kay jab woh bacha janay aur main billi ki naal hasil kar lon magar afsos billi bacha jantay he bachay ko chaat chaat kar naal bhi kha gai aur mujay kuch hasil na hosaka,
May apnay ilm wa tajorbay ki boniad par yeh arz karna chahata hon aap sab say kay Billi ki anool ya naal hasil karna aak moshkil tarin amal hai magar na mumkin nahi, billi jab bacha janti hai to kisi shaks ko apnay kareeb anay nahi deti aur agar koi kareeb oskay chala jay to woh gardan ki taraf jhapat kar katnay ki koshish karti hai agar os waqat kisi shaks ki gardan oskay danton main agai to woh shaks mar bhi sakta hai kuo kay billi gardan par nazok hisay ya nas par attack karti hai jis say insan bay has hokar gir parta hai aur gardan ki nas ko billi danto say okhar kar os shaks ko mar dalti hai, isliay yeh kam bohat dhian aur ahtiat say kia jay, kai log kehtay hain kay humaray pas palto billi hai hum oski naal asani say hasil kar saktay hain magar mein yahan aak khas baat aap ko batata hon kay kisi bhi palto ya pali hoi billi ki naal ya chord mein koi bhi asrat nahi hotay woh kisi kam ki nahi, jo billi awara ya jungli hoti hai sirf osi mein jinnati asrat aur rohaniat hoti hai kuo kay woh azad hoti hai muktalif jagaon par oska ana jana rehta hai aur gharilo billi mein koi asrat nahi hotay,
Mein is tilsim ki talash may kai arsay say tha aur akhir kar mujay aak fakir nay gao may tarika bataya, oskay bata ay tarikay say mainay asani say billi ki naal hasil kar li aur aab bhi isi tarikay say kai aur bhi hasil ki hain aur dosron ko bhi sell ki hain aur aab bhi sell karta rehta hon, aur aab may aap sab say yahan woh asan tarika share karta hon jis say billi ki jaar ya anool asani say bina kisi khatray kay hasil ki jasakti hai:
Billi ki anool hasil karnay ka tarika sab say asan yeh hai kay aak bara cage ya pinjara ho os mein chawalon kay chilkay bicha do aur pregnant billi jo an kareeb bacha peda karnay wali ho osko cage main band rakho jab woh bacha jannay gi to chawalon kay chilkay anool ya naal par chimat jay gay aur billi bawajod koshish kay osay kha na sakay gi kuo kay chawal kay chilkay sharp nokilay hotay hain kanton ki tarah oski ziban par chobay gay, os waqat aap asani say naal ya anool lekar achi tarah dho kar saaf kar kay apnay pas mehfoz rakh saktay hain, isi tarikay say may kafi billi ki naal ya anool hasil karta rehta hon aur kai logon ko sell karta rehta hon meray gao(village) may meray rishtaydar kay ghar par meinay khas pinjara isi maksad kay liay banwa rakha hai osi may yeh kam may karta hon jiski kuch images aap say share karta hon:
 
Yeh hai woh pinjara jis kay zariay may billi ki naal ya anool hasil kar leta hon, image may aap ko malum par gaya hoga kay kis tarah  chawal kay chilkay rakhnay hain,
 
Mein opar pehlay bhi bata choka hon aur aab dobara yahan batata hon kay pali hoi palto gharilo billi ki anool, naal ya chord kisi kam ki nahi na he os mein koi asrat hotay hain, awara ya jangli billio mein jinnati asrat hotay hain aur inki chord he apna asar dikhati hain aur aysi billi ki naal hasil karna kafi moshkil tarin kam hota hai, opar likhay tarikay say anool hasil to hojati hai magar aak aur bhi problem hosakti hai woh yeh kay agar billi ka bacha aap nay apnay pas agar kafi dayr rakha to billi apnay bachay ko accept nahi karti na osay apna doodh pilati hai ya kabhi aysa bhi hota hai kay osay mar deti hai agar cat's chord hasil karnay kay baad billi nay apna bacha kabol na kia aur bacha bhook say mar gaya to yeh amal karnay wala 7 saal tak sakt kisam ki bandish ka shikar hojay ga aur is bandish ka koi tor nahi, isliay is tilsim ko hasil karnay mein bohat ahtiat ki zarorat hai yeh kam seconds mein karna hota hai aur billi kay bachay ko oski ma ki nazaron say dor ya ojhal nahi karna hota yeh kam phorti aur tezi say karna hota hai, aak banda billi ki tawaja apnay pas karay to dosra banda phorti aur tezi say billi kay bachay mein say naal otha lay aur naal hasil honay kay baad billi ko azad kardia jay osi waqat aur cage ka darwaza raat ko khol dia jay takay woh apnay bachay ko otha kar jahan oski marzi chali jay,
Cat's Chord yehni Billi ki naal ya Anool hasil hojanay kay baad osay achi tarah pani say dho kar saaf kar kay matti ki kisi choti piali ya bowl main dal kar barik jali dar kapra bowl par dori say bandh kar rakha jata hai,
 Bowl may Cat's chord ko dal kar bowl ka mo barik jali dar cloth say bandh kar osay dhoop wali kisi mehfoz jaga par rakha jata hai takay woh dhoop may bilkol dry aur khushk hojay, barik kapra isliay bandha jaata hai takay keeray makoray ya kaway osay kha na sakay,
 Cat's Chord Dry ya khushk honay kay baad sokar kar choti hojati hai, tez dhoop may 3 ya 4 din ya 1 week tak rakha jata hai takay achi tarah khushk hojay, khushk honay kay baad cat's chord sokar kar istarah ban jati hai:
 Jab Cat's Chord achi tarah khushk ya dry hojay oskay baad cat's chord ko incense ya khushbo dar dhoni deni hoti hai takay osmay jo bhi bo wagayra ho woh khatam hokar bilkol saaf hojay, Cat's chord ko Incense ya dhooni may jo ingredients use hotay hain woh yeh hain: 
Saffron, Loban(frankincense), Gogal(Benzoin), Golab ki khushk patia(Dry Rose petals) aur Bukhoor, in sub ko apas main mix kar kay dhoni di jaat hai, may apnay incense holder may charcoal cubes jala kar oskay zariay dhoni deta hon:
Achi Tarah Dhooni denay say cat's chord sokta hojati hai bo wagayra jo bhi os may hoti hai khatam hojati hai, dhooni denay kay baad cat's chord ko raat kay waqat chand ki roshni may kholay asman talay rakha jata hai is ko amal e tanjim kehtay hain, chand aur sitaron ki roshni ya rays say tilsim charge hotay hain aur tanjim ka amal cat's chord par karna zarori hota hai,
Amal e Tanjim kay liay may glass bell jar use karta hon, cat's chord ko dhagay may bandh kar bell jar kay andar latka deta hon, bell jar kay andar cat's chord matti ya dust lagnay say safe hoti hai aur har taraf say osay chand aur sitaron ki noorani rays ya roshni lagti rehti hai, sari raat osay isitarah rakhna hota hai aur subha suraj nikalnay say pehlay othana hota hai, agar soraj nikal aya aur soraj ki dhop lag gai cat's chord ko to amal e tanjim kharab hojata hai jis say aap ko phir dobara yeh amal karna paray ga,

Tanjim kay amal kay baad cat's chord ko sindoor main dal kar rakha jata hai, sindoor main cat's chord kabi kharab nahi hogi na os may germs ya keeray lagay gay os may preserved hojay gi,
Sindoor laganay kay baad cat's chord ko kisi chotay box may dal kar os jaga rakhni hoti hai jahan cash, jewellry ya keemati cheezay rakhi hoti hain, cat's chord ko chopa kay rakha jata hai kisi ko na oskay mutalik bataya jata hai na he kisi ko dikhaya jata hai warna iskay subi asrat khatam hojatay hain,
   
Kali Billi ki naal ya anol sab say nayab mani jaati hai yehni aysi kali billi jiska aak baal bhi safaid ya white colour ka na ho, kali billio kay aksar payt kay hisay par white baal hotay hain, kali billi aysi bohat kam nazar aati hai jis ka aak bhi baal safaid rang ka na ho is type ki cat' chord kay asrat bohat powerful hotay hain jo aur rituals aur amliat main kam atay hain, black cat's chord ka hasil karna ka tarika wahi same hai jo opar bata choka hon magar iska ritual change hota hai, black cat's chord ko dhoop aur soraj ki roshni say bacha kar mehfoz rakhna hota hai, black cat's chord ko zara bhi dhoop lagi oskay asrat khatam hojatay hain, black cat's chord hasil karnay kay baad osay matti kay pot may rakha jata hai,
Black cat's chord ko matti kay pot may dal kar barik jali dar cloth bandh kar pot par taweez ya talisman banaya jata hai aur phir pot ko kisi andhayri jaaga par 1 lunar month chand kay mahinay ya kamiri mahinay ki pehli tarikh say lekar new chand ki date tak rakha jata hai, har thursday yehni jomayrat ko dia aur agarbati ya incense ki dhoni di jaati hai, yeh tilsim bohat asar wala ban jata hai agar iska ritual thek tarah say kia jay, iskay bohat ziada fawaid hain aur bohat say amliyat mein bhi yeh use hoti hai,

~*~ BLACK CAT'S CHORD KE AMLIAT ~*~ 
Cat's chord kafi Amliat main use hoti hain aur iskay fawaid bay shomar hain kuch main yahan aap say share karta hon:
 
Aaj kal maali parayshanion kay sath aak aur bhi bara masla bhi aham hai woh masla larkion kay rishtay ya shaadi ka na hona hai, aksar larkion ki age bohat ziada hojati hai laykin onka kahin munasib shaadi kay liay rishta nahi aata jiski waja say parents ka sukon barbad hokar reh jata hai, shaadi waqat par na honay ka aak sabab yeh bhi hai kay larki kay parents ki yeh koshish hoti hai kay woh apni beti ko achi say achi taleem dila ay, isi waja say larkio ki age bohat ziada hojati hai, dosri waja sehar wa jadoo ki waja say bandish ki waja say bhi rishtay nahi aatay, sitaron ki gardish ki waja say bhi aysa hota hai, in sub problems ko theek karnay kay liay cat's chord aak powerful tilsim hai jisay larki agar chandi kay khol may taweez ki tarah dal kar galay may pehnay to Allah pak kay hokam say sub boray asrat khatam hokar woh larki har dil aziz ban jay gi aur oska rishta jald say jald achi munsabi jaga hojay ga, menay yeh taweez kai logon ko diay hain onko faida hoa hai aur iska moshaida may kar choka hon.
Agar kisi ko aulad na hoti ho aur hokar mar jati ho onkay liay bhi yeh tilsim akseer hai, 
Agar kisi ki aulad bohat na farman aur shararti ho, ya koi bacha har waqat bimar rehta ho aur bad asrat ka shikar ho jiski waja say har waqat oskay hadsay ka dar ho to yeh tilsim ghar mein honay say bacha mehfoz rehta hai,
Mia biwi mein muhabat na ho ya ghar mein sukon na ho har waqat jhagray fasad aur bimaria hon to yeh tilsim ghar mein honay say ghar khushal aur bimario say mehfoz rehta hai,
Isitarah agar cat's chord ko silver kay taweez kay khol main dal kar apnay pas rakh kar court may kisi case kay silsilay may jay to faysla osi kay haq may jay ga jiskay par cat's chord hogi yeh kai dafa ka azmoda amal hai.
Billi ki anol kay aur bhi kai amliyat hain, aap muj say yeh tilsim lenay kay baad iskay kai fawaid kay mutalik muj say poch saktay hain,


Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*