Monday, November 16, 2015

The Fish Stone

Ilm Al Hajar yehni Patharon ka ilm yeh word sontay ya parhtay he humaray zehan mein aksar gemstones yehni nagino ki taraf sari soch jati hai woh isliay kay gemstones zamana e qadeem say he insan ka zewar raha hai, aaj bhi humay har jaga har dosray shaks kay hath mein koi na koi gemstone ki ring pehni dikhai deti hai, kai hum mein say log gemstones as a fashion ya pathar ki attaract karnay wali khubsurti ko dekh kar pehantay hain aur koi hum mein log aysay hain jo gemstones kay mukhfi asrat kay kael hotay hain aur woh gemstones ki bohat care kartay hain, 
Gemstones yehni naginay paharon, samandaron ke teh mein say aur zameen mein say nikaltay hain aur yeh hum sabi jantay hain, lekin Allah pak ki banai is dunia mein kuch aysay bhi khas stones hain jo na to paharon mein say nikaltay hain, na samandar ki teh mein say aur na he zameen mein say, yeh baat aap kisi bhi shaks say karain ghay to thori dayr kay liay woh zaror soch mein par jay ga kay akhir aysay konsay stones hain? is sawal ka simple jawab yeh hai kay yeh khas stones janwaron mein say nikaltay hain,
Janwaron kay patharon kay topic par agar baat karain to sab kay zehan mein aak he pathar kay mutalik soch aati hai woh hai "saanp ka minka", yehni woh khas pathar jo saanp kay sar mein say nikalta hai, is khas pathar kay mutalik bhi har shaks ki soch muktalif hai koi kehta hai kay is pathar ki koi haqeqat nahi yeh sab mangharat batain aur kisay kahania hain, haqeqat mein aysa nahi hota hai kay saanp kay sar mein say stone peda ho, aur kai log yeh kehtay hain kay saanp ka minka aak khas mani hai jo naag mani kay nam say mashor hai jis par kai indian films bhi bani hain yeh naag mani hindu mythology hai, lekin is mani ko minkay kay sath milana baywakofi hai, mani alag chez hoti hai aur minka alag hai, minka aak pathar hota hai jo aak khas saanp kay sar mein peda hota hai, 
Yeh to baat hoi saanp kay minkay ki lekin agar mein yeh kahon kay fish yehni machli kay sar mein say bhi saanp ki tarah minka ya pathar peda hota hai to aap he meins say kai log meri baat par yakin nahi karay ghay, lekin meri yeh puri posting parhnay aur dekhnay kay baad sab ko malum hojay ga kay in khas patharon ki haqeqat hai lekin is haqeqat ko aam insan say chopaya jata hai raha zamana e qadeem say lekin humaray olma e rohaniat nay is ilm kay raaz ko kabhi nahi chopaya aur in khas patharon par kitabay likhi jin mein "Hayat Al Haiwan" aur "Ajaib Al Makhlokat" kitabain kabil e tarif hain jin mein "ilm Hajar Al-Haiwan" kay tibi wa mukhfi khuwas kay mutalik kafi kuch bataya gaya hai, lekin afsos hum mein say kai log yeh sab novels ki tarah he parhtay hain aur inko haqeqat nahi samajtay, lekin aaj pehli bar internet ki dunia mein Dawat e Rohaniat he woh pehli site hai jahan in khas patharon kay mutalik sab kuch detail say bataya jay ga takay sab ko malum paray kay yeh koi alif laila ya hatim tai kay kisay nahi haqeqat hai aur aak ilm hai jis par humaray olma e rohaniat nay apni sari omar is ilm ko hasil karnay mein guzar di takay humay is ilm say faida hasil ho,
Jis tarah seep ka moti har seep mein nahi hota kisi kisi seep mein hota hai same isitarah saanp ka minka ho ya machli ka minka yeh sabi mein nahi hota kis kis mein hota hai, jistarah hazaro lakhon insano mein koi aak shaks wali ya aulia hota hai jis say sabi log rohani faiz hasil kartay hain same isitarah Allah pak nay hazaron janwaron mein say aak aysa janwar bhi peda karta hai jis say insan ko shifa hasil hoti hai aur in khas janwaron ka ilm apnay khas bandon ko ata karta hai jo ilm ki qadar karna jantay hon lekin afsos aaj kay dor mein aysay log bohat kam hain jinko in oloom ki qadar ho, kai log aysay hain jo in oloom ko bakwas, fraud, scam, fazol kehtay phirtay hain, mujay kabhi kabhi bohat dokh aur afsos bhi hota hai kay mein itni mehnat say in oloom ko share karta hon aur log meri site kay mutalik galat batain share kartay hain phir mujay Quran pak ki woh ayat yaad ajati hai jis mein likha hai kay aysay logon ki soch aur zehan par khuda nay mohar laga rakhi hai,
Yeh log kabhi rohaniat ko seekh ya samaj nahi saktay aur na he on par kisi tawez ya tilsim ka asar hoga jo onko shifa day, Allah pak he aysay logon ko hidayat day saktay hain,
Saanp ka minka jisay hajar al hayat kehtay hain oskay mutalik mein pehlay likh choka hon aur aab mein machli ka minka jisay hajar al samak kehtay hain iskay mutalik yahan share kar raha hon,
Machli kay sar mein say nikalnay walay is khas pathar kay kai nam hain, Urdu mein isay machli ka minka kehtay hain, Arabic mein isay Hajar Al Samak, Hajar Al Hoth, Farsi mein isay Sang e Sar Mahi, Hindi mein Matsya Mani, Younani nam Cinaedias, English mein isay Lucky Fish Stone aur Scientific nam iska Otolith hai,
Is pathar ka ziada tar tazkira humay tibb wa hikmat ki kitabon mein he milta hai kuo kay yeh pathar kai younani aur homeopathy dawaon mein use kia jata hai,
Yeh pathar bari aur choti size ki khas machlio kay sar mein say nikalta hai,
Kai aksam ki khas choti machlio mein bhi yeh stones nikaltay hain, kisi mein aak nikalta hai to kisi mein pair bhi nikaltay hain,

The Lucky Stone:
The Lucky Fish stone or “otolith” of a common freshwater Fish called a sheepshead or gaspergou.
The lucky Fish stone have a very interesting history. Because ancient people kept lucky stones as charms or tokens of good luck, they are often found in archeological sites going back thousands of years. It is also said that Great Lakes fishermen and sailors kept lucky stones in their pockets to keep them safe from storms, to give them an edge in a card game, or for better luck with the ladies.
Although otoliths or fish stone are present in the skulls of most species of fish, they are particularly large and older,where they are used for hearing and balance. Fish grow otoliths in much the same way as an oyster grows a pearl, building them a layer at a time from a mineral known as aragonite. In this way otoliths are similar to both tree trunks and pearls; as a fish grows, so does its ear stone, providing those who know how to read it with some very interesting information.

Unlike other parts of a fish’s body, otoliths are very persistent and have been found in layers of sediment up to 155 million years old. In recent years, scientists have found that reading the rings of an otolith can provide information on the age, health, and growth rates of a number of species of fish, and trace elements in the rings can reveal the temperature and chemical makeup of the water in which the fish lived. Researchers from Bowling Green University, for instance, can tell where a fish lived throughout its lifetime by studying levels of strontium, magnesium and other chemicals within the layers of an otolith, and scientists from the University of Minnesota have even used them to provide information about the climate of the Great Lakes region over thousands of years.

Machli ka yeh khas pathar Scientific, Hikmat aur Rohaniat kay kamo mein kafi ahmiat ka hamil hai, scientific view say yeh pathar air plane kay black box ki tarah he fish ki zindagi ka data is mein record hota hai, scientist is stone kay zariay machli ki zindagi aur jahan woh rehti hai oskay mahol kay mutalik jankari hasil kartay hain kuo kay is stone mein parat dar parat circles hotay hain jistarah darakt kay katnay say os mein humay nazar atay hain yeh circle har sal barhtay rehtay hain jis say humay darakt ki omar kay mutalik malum hojata hai kay yeh kitna purana hai aur kis season mein os mein kya kya tabedeli ai thi same isitarah machli kay mutalik bhi is stone mein kafi kuch malum hojata hai,
Rohaniat say is stone ka khas taluk hai aur zamana e qadeem say he log isay tawez ki tarah apnay pas rakhtay thay, yeh stone protection kay liay bhi use kia jata hai, aur peson ko apni taraf khinchnay ki salahiat rakhta hai isliay log jowa, sattay aur lottery jesay kamo mein aksar isay use kartay ay hain, yeh stone aurton ko bhi apni taraf attaract karnay jesi salahiat bhi rakhta hai, kai asar e qadima jesi jagahon par archeologists logon ko fish stone kay kai tilsim aur tawez milay hain jo british museum mein rakhay hain,
Bachpan mein aksar mein alama rafique zahid ki kitab Anwar e Tilsimat bohat parhta tha os kitab mein meinay lucky fish stone kay mutalik parha aur khuwaish peda hoi kay isay kisi bhi tarah hasil karon, meray ghar ki galio mein aksar machli bechnay walay guzartay rehtay thay aur mein onsay is stone ka pochta tha kay bhai aap nay kabhi koi stone machli kay sar mein dekha tha jab aap machli kattay hain? aur woh hastay thay meri baat par kay beta aysi koi chez nahi hoti, phir meinay socha kay yeh zaror kisi bohat baray size ki machli mein hoga, meinay aak din apni walda ko kaha kay amee aap jab market say machli manwao to baray size ki mangwana, walda nay kaha kay aap to gosht bilkol nahi khatay aap ko allergy hoti hai ghin aati hai aaj machli ka khyal kesay agaya? thek hai mein mangwao gi lekin is shart par kay aap ko khani paray gi, bachpan mein koi bhi gosht mein nahi khata tha mujay gosht say ghin aati thi aur kafi kamzor sa tha, meri walda ki yeh bari khuwaish hoti thi kay mein gosht khana shoro kardo, woh din aaj bhi mujay yaad hai aur yaad kar kay hasi bhi ajati hai, fish lucky stone ko hasil karnay ki chahat mein meinay walda ki shart man li kay mein fish ka meat zaror khao ga, walda bohat khush hoi onhonay kaha kay mein mithai banton ki agar aap nay payt bhar kar gosht khaya to aur phir walda nay meray walid ko kaha kay machli market say lanay kay liay aur mein bhi walid kay sath gaya market aur jo sab say baray size ki machli thi wahi meinay walid ko kaha kay yeh wali lain, jab machli wala machli ko katnay laga to meinay osay kaha kay oska sar aap mujay day dain aur osnay woh kat kar alag thayli mein mujay day dia, bas phir kya tha aak aak pal muj say saha nahi jaraha tha kay kisi tarah bhi ghar pohanch jaon jaldi, ghar pohanchtay he mein apnay room mein bhaga aur chori say sar ko kata aur pagalon ki tarah stone ko talash karnay laga lekin kuch bhi haath na laga meray haath khoon say kharab hogay aur machli ki bo saray kapron mein lag ghai aur meat ko dekh kar vomating honay lagi, meinay gosay mein sab phank dia aur washroom mein oltia kar kay naha kar fresh hokar abhi nikala he tha washroom say kay walda garam garam fry ki hoi fish lakar meray samnay rakh di kay beta chalo aab khana shoro karo, meinay kaha amee aap jao mein kha lon ga lekin walda nay kaha kay nahi aap puri kha kar khatam karo tab jao ghi, meinay apna dil mazbot kar kay bohat moshkil say khai aur jesay he walda ghai room say mujay oltia shoro hogai aur aysi allergy hoi kay kai dino tak bimar bhi raha, 
Phir jab amliyat ki field mein aya amliyat kay zariay logon ki madad karnay laga to kai tarah kay logon say wasta parta rehta tha, isitarah he aak shaks say meri molakat hoi jiska nam Somar tha jo machli ka karobar he karta tha, os say aak din gemstones kay mutalik batain horahi thi to achanak mujay fish stone ki yaad agai meinay os say pocha to osnay kaha kay meray walid ko iska ilm hai, mein oskay sath oskay walid say milnay ghar gaya, onkay walid kafi zaef thay onsay meinay is pathar kay mutalik pocha to onhonay kaha kay woh iska ilm rakhtay hain, onhonay kaha kay aap meri beti ka ak masla hai woh hal kardain apnay ilm say to mein zaror apko iska batao ga, meinay woh masla onka hal kardia aur onhonay mujay os pathar kay mutalik raaz bata dia, onhonay bataya kay jis tarah kasai log jab gosht ko kattay hain to shanay ki hadi ko tor detay hain isliay kay is hadi kay zariay koi kala jadu na kar sakay same isitarah hum macharay log jab machli ko kattay hain to is pathar ko chopa kar daria mein phank detay hain takay koi is pathar kay zariay kisi par kala jadu na kar sakay, onhonay bataya kay humaray machayron ki basti mein yeh baat mashor hai kay is pathar kay zariay kala jadu kia jata hai, onhonay bataya kay yeh pathar daria ya samandar ki purani borhi machli kay sar mein say he nikalta hai aur onhonay mujay os khas machlio kay mutalik bataya kay kin aksam ki machlio mein hota hai aur kya ilamat hoti hai machli par jis say confirm ho kay os machli mein zaror pathar hoga, meinay somar kay walid ka bohat shukria ada kia kay onhonay mujay yeh ilm dia aur aab mein easily lucky fish stone hasil kar leta hon,

Machli kay sar mein aak khas pocket ki tarah jaga hoti hai jis mein barik jhali see hoti hai os mein yeh pathar chopka hoa hota hai jisay chimtay ki madad say khinch kar nikala jata hai,
Otoliths yehni fish stones kai size aur shape mein hotay hain, colour sab ka dodia white hota hai, kai kuch thoray transparent bhi hotay hain jo pukhraj jesay laktay hain,
Yeh khas stones 3 aksam kay hotay hain, in aksam kay nam hain: Sagittae, Asterisci aur Lapilli, opar photos mein jo stone mein fish mein say nikal raha hon woh Sagittae aksam ka hai is mein chotay chotay circles ya rings bani hoti hain aur yahi amliyat mein use kia jata hai, is sagittae aksam walay mein bohat zabadarst mukhfi asrat hotay hain,

Tilsim Hajar Al Samak:
Hajar al samak yehni machli kay is khas stone mein kafi mukhfi asrat hain yeh stone zamana e qadeem say he tibb, hikmat wa amliyat mein istamal hota raha hai, Amliyat ki kai qadeem arabic kitabon mein iskay amliyat humay parhnay ko miltay hain, aak bohat powerful iska amal mein yahan share kar raha hon, 
Arabic ki qadeem aur nayab kitab "Badeh Al Ajaib" mein olma e rohaniat Salos malte likhtay hain kay mashtari ki saet mein machali kay sar say hasil honay walay pathar ko mashtari kay khas bakhor say dhop day kar heran ki khal mein lapaet dain, is amal kay baad is pathar ko sonay ya chandi kay tawez mein band karwa kar humaisha apnay pas mehfoz rakhain, jo shaks bhi is tilsim ko apnay pas rakhay ga to khuda e pak osko aysi jaga say rozi pohanchay ga kay jiska osay goman tak na hoga aur is kadar mal e kaseer karamat farmae ga jiskay hisab say woh ajiz hojay ga, olma e tilsimat farmatay hain kay khuda e pak nay apni hikmat e kamla say is pathar ko rizaq ki barkat wa kasrat jesi khusosiat say nawaz dia hai, yeh aak aysa tilsim hai jiskay aamil wa hamil kay liay fatohat kay darwazay koshada hojatay hain, sadat wa khush bakhti os shaks ka muqadar ban jati hai aur fikar wa faqa oska zael hojata hai,
Yeh tilsim mein kai bar bana choka hon aur jisko bhi bana kar dia osay faida hasil hua,
Mashtari ki khas dhoni mein jo ingredients use hotay hain woh yeh hain,
 Loban, Samakh Arbi, Kandash, Takham Balsan aur Gogal in sab ko aak sath pees kar powder ki tarah bana kar dhoni mein use kia jay,
Pathar ko mashtari kay bakhor ki dhoni denay kay baad isay heran ki khal mein lapait kar sonay ya chandi kay tawez mein dal kar rakha jay,
 
Olma e Rohaniat wa Tilsimat kay mutabik machli ka taluk dolat aur muhabat say hai, jo shaks rupay peson say joray kisi bhi masael mein parayshan ho jesay achi job ka na milna, karz ki waja say parasyshan, rizaq aur peson mein barkat na hona jiski waja say saving bilkol bhi na horahi ho aur noksan horaha ho, luck ka acha na hona jiski waja say bonds ya lottery mein na kami hona istarah kay kai masael jo money, financial ya bussiness say ho woh sab masael is tilsim ki barkat say thek hosaktay hain, jiskay pas yeh tilsim hoga oski madad gayb say apnay aap honay lagti hai aur achanak aysay aysay zariay apnay aap banna shoro hojatay hain jiski taraf tasawar aur soch tak nahi jati aur rupay peson ki waja say parayshan shaks kuch he arsay mein khushal hona shoro hojata hai,
Muhabat aur shaadi kay sath bhi is tilsim ka taluk gehra hai, zamana e qadeem mein log is tilsim ko taskheer e khuwateen kay liay bhi use kartay thay, jis shaks ki shadi na horahi ho aur kahin say kisi rishtay ki umeed nazar na arahi ho ya koi bhi aurat kisi bhi wajohat ki waja say os shaks ko passand na karti hoto aysa shaks is tilsim ko apnay pas agar rakhay ga woh mehbob e khuwateen hoga aur oski shadi jaldi hojay gi, 
Kai aysay shaks hain jinkay pas sacha pyar karnay wala mehbob to hota hai lekin onkay halat aysay hotay hain kay rupay peson kay liay tarastay hain kahin koi bhi zaria nazar nahi ata jis say onka yeh masla thek ho, same isitarah kai shaks aysay bhi hain jinkay pas dolat aur dunia ki har nehmat hai lekin sacha pyar karnay wala mehbob nahi, agar koi milta bhi hai to osay sirf dolat ki lalach hoti hai pyar 1% bhi nahi hota, zindagi say joray aysay kai masael ka hal is tilsim ka apnay pas honay say thek hosaktay hain, is aak tilsim ko apnay pas rakhnay say "DOLAT" aur "MUHABAT" dono naseeb hoti hai,

Do You Need Fish Stone Talisman?
Agar aap ko fish stone tilsim ki zarorat hoto aap muj say rabta kar kay order day saktay hain, 

Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Please Note:
Meri site dawat e rohaniat aur dhaaro occult shop say kai dhokay baz aur fake aamil photos aur texts chori kar kay alag fake websites aur facebook page par share kar kay logon ko baywakof bana kar onsay hazaron rupay lekar fake chezain day detay hain, aap sab say meri guzarish hai kay aap kahin bhi meri site say milti jolti fake site daykhain ya kisi site par meray photos ya nakal kartay kisi ko dekhain to foran mujay etla dain takay in fake dhokay baz logon kay khilaf karwai ki jasakay jo ilm ki badnami ka baes bantay hain, 

Fish stone ka yeh topic mein abhi yahin tak complete karta hon, InshAllah bohat jald Fish & Reptiles stones kay nam ka alag blog dawat e rohaniat par share karo ga jis mein kai fish stone kay amliyat kay sath saanp kay minkay, mandak kay sar say hasil honay wala pathar aur girgit kay khas pathar kay mutalik bhi kafi information hogi,
Apnay is bhai ko zaror apni duaon mein yaad rakhiay ga,

                                                Ali.