Tuesday, September 3, 2013

Healing Talismans for Child (Tawezat e Shifa Amraz e Etfal)

Bimaria ya Amraz zindagi ka hisa hain har shaks apni zindagi mein bimar zaror hota hai aur sahi doctor kay ilaj aur medicine use karnay say sehat yab hokar thek bhi hojata hai, Aur aaj medical science nay yeh sabit kardia hai kay khatarnak bimario kay virus aur germs har jaga mojod hain aur inka hamla kabhi bhi bachay, baray ya bozrog sabi ko kabhi bhi hosakta hai magar humay parayshan honay ki zarorat nahi kai antibiotics medicines milti hain aur kai kabil samajdar doctors bhi mojod hain jo ilaj karna jantay hain, Laykin kuch Bimaria aur amraz aysay bhi hotay hain jo medical science ki samaj say bahir hain jiska ilaj onkay pas mojod nahi, dunia mein kai aysay log hain jinko mamoli bimari hoti hai lekin jab onka medical test hota hai to sab normal ata hai, akhir kuon? aak shaks ko bohat tez fever hota hai oska jism shaded garam hota hai magar thermometer kay test say oski body ka temperature normal ata hai akhir kuon? istarah ki hazaron problems hoti hain jisay dekh kar doctors hazrat kay sar chakra jatay hain aur dosri jaga ilaj karwanay ka mashora day detay hain aur bichara mariz aak kay baad dosra doctor badli karta rehta hai aur bohat sara pesa oska barbad hojata hai aur shifa to milti nahi akhir kar oska marz shidad akhtiar karleta hai aur woh sab ko chor kar mot ki agosh mein chala jata hai, kuon hota hai aysa? akhir kahan jay mariz ilaj kay liay? in sawalat kay jawab medical science kay pas mojod nahi, kuo kay istarah ki bimario aur amraz ka taluk rohaniat say hai aur rohaniat ko medical science nahi manti magar "jahan science khatam hoti hai wahin rohaniat shoro hoti hai",  Medical science nay yeh to easily sabit kar kay bata dia dunia ko kay nazaron say na dikhnay walay germs, bacteria ya virus har jaga mojod hain jiskay hamlay say insan kabhi bhi bimar par sakta hai lekin science nay yeh baat abhi tak dunia ko nahi batai kay nazron say na dikhnay wali aur bhi gaybi asrat hain jo dikhai to nahi detay magar onka reaction aur asar dekha aur mehsos kia jasakta hai, bad asrat insan par lagtay hain kisi ki nazar e bad say, hasad say, jadu say, sitaron ki gardish say, jinnat, asyab ya bad ruh ya saaya kay asrat say etc, koi bhi insan in bad asrat ki lapait mein kabhi bhi asakta hai aur osko wahi bimari hosakti hai jo medical science kay test mein zahir he nahi hoti,  Zamana e qadeem mein jahan bimario ka ilaj dawa say hota tha wahan jharphonk, dua aur tawezat say bhi ilaj hota tha, mariz ko jahan dawa ki zarorat hoti thi wahan dawa, jahan dua ki zarorat hoti thi wahan dua aur jahan TAWEEZ ki zarorat parti thi wahan tawez detay thay, (tawezat kistarah asar kartay hain yeh sab jannay kay liay aap meray blog ka yeh post parhain:http://dawaterohaniat.blogspot.com/2013/05/sacred-healing-bowls.html)
Zamana e Qadeem mein olma e rohaniat nay in gaybi asrat ko dekha, samjha aur mehsos kia aur onkay ilaj kay liay bohat mehanat ki aur aysay tawez aur tilsim bana dalay jo in asrat ko khatam karnay ki salahiat rakhtay hain, onhonay is ilm ko sirf apnay tak he mehdod nahi rakha balkay kitabay likhi takay har insan is say faida hasil kar sakay, magar aaj kay scientific dor mein rohaniat par yakin logon ka khatam hota jaraha hai aur jinko yakin hai magar onkay pas time he nahi kay woh is ilm ko seekh sakain ya koi taweez bana sakain woh khud bhi robot ya machine ban chokay hain apni zati masrofiat mein busy hotay  hain, In sab bataon par meinay ghor kia aur net par pehli bar aysi online shop kholnay ka irada kia jahan har waqat taiyar shoda tawezat mojod hon, jisko jis tawez ki zarorat ho woh order kar kay mangwa lay aur os say faida hasil kar sakay, InshAllah aap sab ki duaon say is kam ko mazeed barhata jaon ga, mujay apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,  Allah pak aap sabi ko khush wa abad rakhay aur har bimari aur marz say bacha kay rakhay (ameen).
Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekinYahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com


Agar Bacha parhnay say bhagay, school janay ya parhai mein oska dil na lagta ho, ma bap ka hokam na manta ho, zidi ya sharir hoto bachay ko yeh naqsh dho kar pilaya jay aur oskay galay mein har waqat pehna rahai, inshAllah bacha theek rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR



Jab bachay ka dood choraya jata hai ya bachay kay dant nikalnay ka waqat aata hai to bachay ko bohat taklef hoti hai, bachay aur ma ka sokh, chan aur neenday raat ko or jati hain aur dono ko bari kashmakash ka samna hota hai, yeh naqsh dho kar bachay ko pilaya jay, inshAllah taskeen ata hogi.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh Gria e Itfal:
Kai bachay sari raat rotay hain aur ronay ka koi khas sabab bhi samaj mein nahi aata, yeh naksh bachay kay galay mein dalain, inshAllah aram rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR


Agar bacha dood na peta hoto yeh naqsh ma kay dood ya daria kay pani say dho kar bachay ko pilaya jay, inshAllah bacha dood penay lagay ga aur ronay say baz rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh Baray e dafa jamoga:
Yeh marz bachon ko aksar hojata hai, bacha rang badalta hai, enthta akharta hai, jabray sakt hojatay hain, yeh naqsh bachay kay galay mein dalay, bacha is mozi marz say nejat pakar inshAllah tandrost hojay ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR



Akseer etfal wa nazar bad:
Bachay ka zid karna, dood na pena, na sona, nazar bad wagayra,
bohat say kamo kay liay yeh naqsh mojrab hai, bachay kay galay mein dalain.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh bara e dafa deo, pari wa sehar:
Yeh naqsh sherkhuwar bachon kay liay hai, is say bacha mehfoz rehta hai, bachay kay galay mein dalay, inshAllah bacha deo, pari aur sehar kay asar say mehfoz rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh bara e dafa chichak:
Chichak nikalnay say pehlay naqsh galay mein dalain aur agar chichak nikli hoto yeh naqsh galay mein bandhay jiski barkat say ba asani dhal jay gi, agar qudrat ki taraf say waqat pura na hua hai to ba sehat wa salamat rahai kuon kay aksar bachay chichak mein apni ankhain kho bethtay hain, kai kay haath paon bekar hojatay hain, inshAllah is say mehfoz rahai gay, is naqsh ko dho kar bhi pilaya jay.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165