Tuesday, September 10, 2013

Talismans For Husband & Wife Love


Hasad, Jalan ya shak aak aysi na dikhai denay wali aag hai jis mein insan har waqat andar he andar jalta rehta hai, Hasid yehni hasad karnay walay log jab do mia biwi ko apas mein khush aur khushal dekhtay hain to onhain onki khushi dekh kar jalan hoti hai woh bardash nahi kar patay ya to woh mia biwi kay dil mein aak dosray kay liay nafrat dalnay kay liay tarah tarah ki batain kartay hain, shohar ko biwi ki galat batain kahai gay ya biwi ko shohar kay mutalik galat news day ghay istarah ghar kharab karnay ki woh har mumkin koshish kartay hain, kai husband aur wife kay darmian jhagray aur fasad shoro hojatay hain aur onka ghar kharab hojata hai lekin kai husband aur wife aysay bhi hotay hain jinko aak dosray par paka bharosa hota hai woh dosron ki galat bataon ya news par yakin nahi kartay, jab hasid ya hasad karnay walay dekhtay hain kay onki galat bataon ya news say onpar koi asar na hua to phir woh kalay jadu ka sahara letay hain aur tarah tarah kay ganday ilm aur jadu karwa kar husband aur wife kay darmian judai karwa detay hain, yeh ghatia hasad karnay walay log har jaga kahin bhi hosaktay hain jesay khandan, family ya relatives mein, paros mein, friends mein etc, kai hasad karnay walay log out of family ya relation mein say bhi hosaktay hain jesay koi kisi larki say pyar karta ho aur os larki ki shaadi kahin aur hojay ya koi larki kisi larkay say pyar karti ho aur oski shaadi kahin aur hojay to hasad aur jalan mein woh kala jaadu karwatay hain kay hum dokh aur ranj mein hai woh wahan kuon apnay ghar mein khush rahai aur osay tabha wa barbad dekhna chahatay hain isi liay woh tarah tarah kay jadu karwa kar husband aur wife kay khushal ghar ko tabha kar detay hain,
Kai husband aur wife kay stars bhi apas mein match nahi hotay onki tabiat aur nature apas mein bilkol bhi nahi milti, woh har mumkin koshish kartay hain kay onki apas mein muhabat barhti rahai lekin phir bhi koi na koi aysi baat ho he jati hai kay jhagray, fasad aur nafrat hojati hai,
Isi tarah Shak bhi aak marz hai jis mein kai log mobtala hotay hain zara zara see baat par shak karna jiski waja say ghar mein roz jhagray honay lagtay hain ghar ka chain wa sukoon barbad hojata hai, problems ziada masom bachon ko hoti hai mia biwi to aak dosray ko divorce day kar alag alag dosri jaga shaadi bhi kar letay hain lekin masom bachon ka future tabha wa barbad hojata hai, onko thek say na ma ka pyar mil pata hai na bap ka, shak ki bimari ka ya hasad, jalan, jadu ya sitaron ki problems ka ilaj medical science mein to nahi hai lekin olma e rohaniat kay pas in bimario ka ilaj mojod hai, in sabi problems ka taluk ruh say hai aur ruh agar khush nahi to dunia ki har nehmat honay kay bawajod bhi insan khush nahi rehta, is ruh ka ilaj rohani tarikon say hota hai yehni jhar phonk ya tawezat say, yahan mein kuch azmoda khas taweez share kar raha hon jo har tarah ki husbad aur wife kay darmian honay wali problems ko theek kar kay on mein aak dosray kay liay muhabat peda karnay ki salahiat rakhtay hain, in tawezat ka har ghar mein hona zarori hai takay shaitan sifat logon kay boray iradon say apnay aap ko, family aur ghar ko bachaya jasakay.

Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekin Yahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com

Naqsh Muhabat zan wa shohar:
Yeh naqsh kai fawaid kay sath shohar aur biwi ki na itafaqi dor karnay kay liay mojrab hai, isay dho kar iska pani khud piay aur shohar ko bhi pila day, jo aurat apnay shohar ki nazar mein mehbob hona chahai to is naqsh ko har waqat apnay pas rakhay.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR

 
Yeh Taweez jo ibarat par moshtamil hai, shohar ko naik bananay aur konwari ki shaadi kay liay akseer hai, agar kisi ka shohar badkar ya bad kirdar hoto biwi yeh tawez galay mein pehnay aur konwari larki naik shohar chahai to woh bhi galay mein pehnay, ibarat mein pehlay lafz falan ki jaga nam aur dosray falan ki jaga ma ka nam likha jay yehni jiskay liay zarorat hai oska aur oski ma ka nam likha jay.
Agar larki jawan hogai ho aur shadi kay liay acha rishta kahin say na aata hoto yeh naqsh larki kay galay mein dalain, inshAllah marzi kay mutabik shohar milay ga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR

Naqsh Isma e As hab kehaf:
Yeh khas naqsh kai fazilaton aur barkaton ka hamil hai aur khosusan har kisam kay hamlon say nejat panay kay liay maslan:
jinn wa insan wa haiwan wagayra kay nehait mofeed hai, do doston,
bhaion, behan bhai, mia biwi, ma bayton wa degar akarba, molazim ya malik ya afsar, in tamam afrad kay darmian muhabat kay liay yeh naqsh bohat mofeed hai, is naqsh ko pani mein dal dain aur iska pani ahal e khana ko pila ay to sab mein mael, muhabat wa kholos peda ho.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165