Hoopoe yehni Hudhud woh mubarak parinda hai jiska zikar Quran pak mein bari tafseel say aya hai aur iski tareef Torayt say bhi sabit hai isay Tair e Sulaymani bhi kehtay hain kuo kay Hazrat Sulayman a.s kay kai wakiat is parinday kay sath humay tarikh ki kitabon mein parhnay ko miltay hain, Kitab e muqadas Torayt mein aak wakia istarah hai kay aak roz Hazrat Sulayman a.s apnay Takht e Shahi par bethay hokomat kar rahai thay kay Hazrat Jibrael a.s achanak zahir hoay aur Aap a.s nay Salam kehnay kay baad farmaya kay "Ay Sulayman a.s khush khabri ho jo tum ko Allah pak nay apni qudrat say aak tair ata kia hai nam iska hudhud hai, is mein bohat see khasiatay hain, kisi shaks ko iski khasiaton par shak nahi karna chahehai",
Rohani oloom jannay walay sabi yeh jantay hain kay Allah pak nay is khas parinday mein hazaron khasiatay rakhi hain, iskay nakhon say lekar sar ki choti kay baal tak har chez ka apna alag asar hai,
Nabi pak s.a.w ki aak rawaet hai kay aak din Aap s.a.w sahaba karam r kay sath jungle mein tashref rakhtay thay, sahaba ko farmaya kay hudhud lao aur oskay paron jo jalao, sahaba jungle mein hudhud ko talash kar kay lay ay aur oskay paron ko jalaya gaya aur oskay dhonway say jungle mein mojod saanp, bicho aur kai zehrilay keeray wagayra bhag ghay jahan jahan in paron ka dhonwa pohancha, yeh ajeeb taseer hudhud kay paron mein hai,
Arab kay kai olma e rohaniat nay apni kitabon mein hudhud kay khuwas wa amliyat kay mutalik bohat kuch likha hai, Hazrat imam Jalaluddin seoti nay apni kitab "Mojarbat e Seoti" mein aur aak qadeem arabic kitab "Taj Al-Malok" mein bhi kai amliyat hudhud kay humay miltay hain, Hudhud mein noori rohaniat hoti hai iskay ziada tar amliyat hub wa muhabat kay hotay hain, olma e rohaniat kay mutabik is khas parinday mein moakil wa jinnat hotay hain aur yahi amal ki kowat say taskher hokar kam kartay hain, hudhud kay amliyat to hazaron ki tadad mein hai jisay yahan share karna posible nahi mein hudhud parinday par inshAllah apna alag blog likh kar share karon ga, abhi mera topic wish bones par hai, aur hudhud ki wishbones bohat he khas hoti hain aur in wishbones kay mutalik mein yahan batata hon,
Hudhud ki wishbones hasil karnay say pehlay aak khas amal say hudhud aur oski rohaniat ko taskheer karna parta hai aur taskheer karnay kay baad he oski rohaniat say faida pohanch sakta hai, jo bina taskheer kiay Hudhud ka amal karta hai woh kamiab nahi hota aur Hudhud kay mohafiz jinnat wa moakil os shaks ko aur sath mein oski family ko bhi tabha wa barbad kar kay rakh detay hain, Hudhud ki taskheer ka khas amal mein yahan share nahi kar raha isliay kay koi kisi par na jaiz amal na kar sakay, mein apnay khas amal sirf apnay students say share karta ho,
Hudhud ki taskheer kay amal ka chila 24 dino tak karna hota hai, yehni nai chand ki 1st date say shoro karna hota hai, chand ki 25th date ko Hudhud ko khas tanbay ki chori jiska zikar meinay apni blog site dawat e rohaniat mein kar choka hon os chori say zibah kia jata hai istarah kay aak khon ka katra bhi zameen par na giray na he koi hadi totay, oskay baad hudhud ko kisi bartan mein dal kar pani os bartan mein dal kar osay boil kia jata hai takay gosht wagayra hadio mein say alag hojay,
Hudhud ki sabi bones ko ahtiat say alag alag kia jay takay koi bhi hadi na totay na zaya ho,
Aur phir onko achi tarah saaf karnay kay baad pani kay bharay bartan ya Aquarium mein dala jay,
Bones pani mein dalnay kay baad sari bones neechay teh mein beth jay gi lekin on mein aak bone pani kay center mein tayrnay lagay ghi aur aak bone opar pani kay satay par ajay ghi,
Jo Bone pani kay satay kay opar akar tayrnay lagti hai is bone ka taluk ansar aag yehni element fire say hota hai, Jo bone Pani kay center mein tayrnay lagay is bone ka taluk ansar hawa yehni element air say hota hai, jo bones pani kay teh mein beth jay on mein say jo sab say choti bone hoti hai oska taluk ansar matti yehni element earth say hota hai,
Yahi woh teeno khas wishbones hain jisay hasil karnay ka yahi tariqa hai warna wesay humay kabi malum nahi par sakta kay sari bones mein say konsi wish bones hain,
Yeh teeno khas bones hasil karnay kay baad inpar khusbodar ittar laga kar kisi saaf kapray mein lapait kar rakh dia jay, baqi hadia kisi kam ki nahi onko daria ya nehar mein dal dia jay, aab mein in khas teeno wishbone kay khuwas share karta hon,
The First Bone, (The Bone of Insight):
First yehni pehli hudhud ki bone jo pani kay opar satay par tayrnay lagti hai iska taluk element fire say hai, opar image dekhnay par aap ko malum hojay ga kay yeh patli see yellow colour ki bone hoti hai aur iska taluk aalam e safli say hai, iska mizaj garam hai is bone kay moakil wa jinnat safli hain inka taluk aag say hai, is bone ko thora aag mein garam karnay kay baad tez khushbodar ittar laga kar apnay pas rakha jay, is bone kay khuwas yeh hain,
Har woh khuwaish jiska taluk dolat say ho, khushal zindagi say ho, rishtaydaron say ho, dosti yari ya muhabat say ho, achi sehat say ho, police ya kanoni masael say nejat say ho, achi job say ho, dushmano say mehfoz rehnay say ho wagayra to is bone say oski yeh khuwaish puri hosakti hai,
Yeh bone jis shaks kay pas ho os shaks mein josh aur himmat peda karti hai jis say woh shaks baray say bara kam bhi asani say kar leta hai, mayousi, udasi, ranj,dokh wa sadma, ehsas e kamtari, bozdili, darr wa khoff ko khatam kar deti hai, is bone kay asrat say os shaks ki jismani batni kowat harkat mein ajati hai aur oski zindagi mein jo masael wa moshkilat hoti hain onko woh thek kar leta hai, oskay dushman ospar hawi nahi hotay kabhi, dost, yar ya mehbob say osay koi noksan ya dokha nahi milta sabi os say muhabat karnay lag jatay hain, naraz rishtaydar, dost ya mehbob jo naraz hogaya ho ya nafrat karta ho ya kisi waja say judai hogai hoto to dobara wapis os shaks ki taraf palat atay hain jiskay pas yeh khas wishbone ho, sard mizaji yehni coldness jis shaks mein hoto os shaks ko kisi kam karnay mein dil nahi lagta bas dil karta hai kay parsukon jaga par aram karta rahon koi disturb na karay osay, aysay kai log hain jo koi bhi mazdori ya job nahi kar patay aur ghar walon say kehtay hain kay humay koi job milti he nahi kya karain, ya bimari ka bahana bana kar ghar mein bethay rehtay hain, isitarah kai ameer aur rich log jinki bari hotels hoti hain, factories, gas stations ya zameen wa builder ka kam kartay hain on mein bhi sard mizaji yehni coldness ki bimari lag jati hai jis say woh bhi ghar beth jatay hain aur sara kam kisi aur shaks ya partner kay haath mein day detay hain jo onka apna khas banda hota hai aur woh shaks shoro mein to sahi hota hai lekin baad mein galat kam aur dokhay bazi karnay lag jata hai jis say os shaks kay businness mein noksan hojata hai aur deemak ki tarah woh shaks osay andar he andar khokhala karta rehta hai, coldness ki yeh bimari agay chal kar mazeed khatarnak rop akhtiar kar leti hai, sard mizaji say woh shaks kisi aurat kay kabil nahi rehta hai os mein woh josh he nahi rehta hai kay aurat say hum bistari kar sakay, oska dil karta hai kay woh bas bed par para rahai aur aurat khud os say humbistar ho, is bimari say woh na mard ban jata hai aur bhi kai bimari oskay jism mein peda honay lagti hai jesay jism aur hadio mein dard wagayra rehna, os shaks ka room medical store ki tarah ban jata hai jahan har taraf medicines pari nazar aati hain aur akhir kar waqat say pehlay he mot ki aghosh mein chala jata hai,
Sard Mizaj ya coldness ki bimari akhir kistarah insan ko lagti hai? is sawal ka jawab yeh hai kay medical science to jismani bimario ki dawai bana kar kisi bhi insan kay jism ki bimari ko dor kar sakti hai lekin medical science ko abhi aysi bimario ka ilm he nahi jo rohani bimaria hoti hain jo direct insan ki ruh ko mutasir karti hain aur coldness bhi rohani bimari hai aur yeh bimari kisi bhi shaks ki nazar e bad, hasad, jaadu, saaya ya sitaron ki gardish say lagti hai, coldness ki bimari say os shaks kay jism mein aysay jinnat wa moakil virus ki tarah dakhil hojatay hain jo oski himmat, josh, taqat sab ko khatam kar kay rakh detay hain, in jinnat wa moakil ka taluk pani say hota hai,
Agar jis shaks kay pas yeh khas hudhud ki ansar aag wali wishbone hoto is bone kay jinnat wa moakil on asrat ko nikal bahir kartay hain jiski waja say os shaks ko coldness ki bimari hoti hai, aur os shaks mein aak josh sa peda hojata hai aur mazdori ka kam ho ya job ka woh himmat wa josh aur mehnat say karnay lag jata hai, os mein itna power ajata hai kay oska dil karta hai kay aak din mein woh kai kam karay aur osay thakan mehsos he nahi hoti kam kay doran, aur jo shaks rich hon aur on mein coldness ki bimari hoto is bone kay asrat say woh bimari khatam hojati hai aur woh apnay har bussiness ko apnay control mein rakhtay hain jis say onko double faida honay lagta hai, jismani thakawat aur bimaria khatam hojati hain, dushmano say mehfoz rehtay hain, aur josh aur power itna peda hojata hai kay apni 4 biwion ko humbistar kar saktay hain,
Is bone say insan kay andar ki batni kowat active hojati hai aur is bone kay jinnat wa moakil os shaks ki har waqat rakhwali kartay hain, kuch agar bora honay wala hoto os shaks ko pehlay he malum hojata hai kay kuch bora honay wala hai jis say bachao kay tarikay bhi apnay aap oskay zehan mein anay lag jatay hain,
aur bhi kai is bone kay chopay khuwas hain jisay yahan share nahi kia jasakta lekin jiskay pas yeh bone ho osay he iskay batni asrat malum hosaktay hain jo oski zindagi mein osay faida detay hain.
The Second Bone (The Bone of Mind):
Second yehni dosri bone jo pani kay beech mein tayrnay lagti hai, iska taluk ansar hawa yehni element Air say hai, opar image dekhnay par aap ko malum hoga kay yeh moti see safed rang ki bone hai, iska taluk aalam e norani say hai iskay jinnat wa moakil norani hain aur inka taluk bhi hawa say hai, is bone ko loban ki dhoni day kar pehli wali bone kay sath he apnay pas rakha jata hai, is bone kay fawaid yeh hain,
Har woh khuwaish jiska taluk deen wa mazhab, bimari say shifa, taleem, ilm wa amal say ho, dosray mulk kay safar say ho os mein osay kamiabi milti hai,
Yeh bone jiskay pas ho to os shaks kay zehan par apna asar dalti hai jis say os shaks kay zehan mein nai nai ideas peda honay lagtay hain jis say woh apni zindagi ko khushal bana sakta hai, insan kay jism mein mind yehni zehan he woh khas machinery hai jo osay abad ya barbad kar sakti hai, insan ka faysalay he osay aur oski family ko abad kar saktay hain ya phir barbad,
Shaitan jab kisi insan kay zehan par hawi hojata hai to woh insan bhi shaitani harkatay karnay lag jata hai, shaitan kay chailay har jaga har waqat mojod rehtay hain aur virus ki tarah kabhi bhi insan par attack kar kay oskay zehan aur oski soch ko apnay control mein lay letay hain aur aak acha nayk insan boray kam karnay lag jata hai, humaray beech kai aysay log hain jinki soch aur zehan par shaitan ka kabza hai onkay zehan mein deen wa mazhab ko lekar galat sochain peda hoti hain, wiswisay hotay hain, woh nimaz nahi parh patay, ibadat nahi kar saktay bas har waqat fazol, ghatia aur behoda soch aur behoda kam karnay ko onka dil karta hai, aysay shaks kay pas agar yeh khas bone hoto is bone kay khas noorani moakil os shaitan ko os shaks kay dimakh wa soch say nikal bahir kartay hain jis say woh shaks normal hojata hai aur aak noorani power oskay zehan mein sama jata hai aur woh shaks pak saaf rehnay lag jata hai, behoda kam aur soch kabhi oskay zehan mein nahi aati, osay mazhab say lagao peda hojata hai aur ibadat karnay say osay bayzari ya thakawat nahi balkay aak suror aur sukon sa milnay lagta hai,
Isitarah bimari say shifa kay liay bhi yeh bone kafi faiday mand hai, yeh bone jiskay pas hogi woh khatarnak la ilaj bimario say mehfoz rehta hai aur agar osay koi bimari hai jo kai arsay say thek na ho parahi hoto is bone kay mukhfi asrat say osay shifa mil jati hai,
Isitarah study kay liay bhi yeh bone bohat best hai, kai students bohat mehnat kartay hain study mein lekin jab exam denay kay liay room mein bethtay hain to sab bhool jatay hain kuch bhi yaad nahi aata jesay kisi andekhi kowat nay sab kuch onkay zehan say remove kardia ho, woh bohat ghor kartay hain sochtay hain lekin kuch yaad nahi rehta, yahi woh bandish hoti hai jis say zehan mafloj hokar reh jata hai aur natija yeh nikalta hai kay exam mein fail hojatay hain aur woh study jo onhonay sari raat jag kar ki oska onhai koi phal nahi milta, istarah ki problems ko dor karnay kay liay yeh bone apnay pas rakhnay say student ko exam mein kamiabi milti hai aur jo students study nahi kartay ya humaisha exam mein fail aatay hain to onkay liay yeh bone bohat best hai, is bone kay mukhfi asrat onkay zehan par asar daltay hain jis say student ka zehan tezi say kam karnay lag jata hai,
Agar koi shaks engineer ho ya doctor ya phir scientist oskay pas yeh khas bone hoto iskay mukhfi asrat say osay apnay kam mein kamiabi milti hai, har woh kam jiska taluk soch wa zehan say ho os kam mein taraqi naseeb hoti hai aur oska zehan update hota rehta hai jis say nai nai soch say woh kamiabio ki onchi manzil tak rasai hasil kar leta hai,
kai log amliyat ka bohat shok rakhtay hain wazaif parhtay hain chilay kattay hain lekin onko kuch hasil nahi hota, aysay logon kay pas agar yeh bone hoto onko wazaif kay amal mein kamiabi naseeb hoti hai,
Kai logon ki khuwaish bahir mumalik mein job karnay ki hoti hai onki khushali kay sab rastay kholay hotay hain onko malum hota hai kay agar woh os country mein chalay ghay to onko 100% sure kamiabi milay ghi jis say sari zindagi onki khushali mein guzray gi lekin jo meinay problem aur rikawat aati hai woh "visa" ki hoti hai, onko visa nahi mil pata woh bohat koshish kartay hain lekin kamiab nahi hopatay, istarah ki problem aur rikawat ko dornay karnay kay liay agar yeh bone os shaks kay pas hoto oska visa jaldi lag jata hai aur woh easily bina kisi problem aur rikawat kay apnay manpasand mulk mein pohanch kar khushal hojata hai,
Safar chahai kesa bhi ho har safar mein peda honay wali gardish, rikawat, problems ko is bone kay khas moakil dor kar detay hain, jo log humaisha halat e safar mein rehtay hon onko apnay pas yeh khas bone rakhni chahehai takay doran e safar woh har tarah kay khatrat, hadsay aur jan wa mal kay noksan say mehfoz reh sakay,
Aur bhi kai is bone kay fawaid hain, sab kay sab fawaid yahan likhna possible nahi, mazeed malumat kay liay aap muj say rabta kar kay iskay fawaid malum kar saktay hain.
The Third Bone (The Bone of Stability):
Third yehni teesari bone jo pani ki teh mein jam par beth jati hai, iska taluk ansar matti yehni element earth say hai, opar image dekhnay par aap ko malum hoga kay yeh chotay size ki bone hai jiska adha rang yellow adha white hai, is bone mein dono asrat hain yehni safli aur norani aur is mein dono safli aur norani moakil wa jinnat hain is bone kay khas jinnat wa moakil ka taluk bhi zameen say hai, is bone ko ittar laga kar baqi dono 1st and 2nd bones kay sath he rakha jata hai, is bone kay fawaid yeh hain,
Har woh khuwaish jiska taluk zameen say ho jesay ghar, khayt, plot, shop, factory ya hotel wa restaurant wagayra is bone kay mukhfi asrat say puri hosakti hai,
Har insan ki sab say bari khuwaish yahi hoti hai kay oska gharana khushal rahai, har maslay masael aur bimario say mehfoz rahai, ghar mein honay wali har kisam ki nahosat aur masael ko dor karnay kay liay is khas bone ko ghar mein rekhnay say is bone kay khas moakil ghar mein honay walay har kisam kay bad asrat ko khatam kar detay hain,
Agar koi shaks rent kay ghar mein rehta ho aur lakh koshishon kay ba wajod osay apna man pasand zati ghar na mil paraha ho to is bone ko apnay pas rakhnay say osay zati ghar lenay kay doran honay wali parayshani aur har kisam ki sakti aur rikawat ko is bone kay asrat dor kar detay hain aur os shaks ko apna ideal zati ghar mil jata hai jo oskay aur oski family kay liay mubarak hota hai,
Gaon kay ilakon mein aye din khayt ki zameen kay mamlay mein aksar larai jhagray hotay rehtay hain jis mein bohat khoon kharaba hota hai, dushmani kabi itni barh jati hai kay puray khandan ko katal kardia jata hai, khayt wa zameen kay har maslay chahai woh masla gao mein dushman ki taraf say ho ya qanoni case ho woh sab asani say hal hosakta hai is bone kay khas asrat say zameen hasil hona jo na mumkin nazar araha ho lekin is bone kay asrat say zameen hasil hona mumkin hojata hai,
Isitarah kai log itna kharcha kar kay khayti ka kam kartay hain lekin onko zameen ki peda war say koi faida hasil nahi hota humaisha noksan othana parta hoto aysay shaks ko yeh bone apnay pas rakhni chahehai, iskay mukfhi asrat say oski yeh problem dor hojati hai aur osay zameen ki peda war say kafi faida hasil hota hai,
Kai builders ya petrol pump walay achi location ki zameen hasil nahi kar patay aur agar onki manpasand jaga par zameen milti bhi hai to kai maslay masael aur rikawat pesh aati hai, istarah ki har rikawat aur problems ko is bone kay khas moakil dor kar detay hain,
Kai log itna kharcha kar kay shop open kartay hain lekin onki shop nahi chalti, customers onki shop par aatay he nahi aur agar aatay bhi hain to bohat he kam, jis say onka bohat noksan hojata hai, agar koi shaks bank say loan lekar shop kholta hai woh to bilkol he tabha hokar reh jata hai jab oski shop bilkol bhi nahi chalti, istarah ki problems dor karnay kay liay agar is bone ko apnay pas rakha jay to iskay moakil oski madad kartay hain jis say customers oski shop ki taraf attaract hotay hain aur shop par customers ka rush sa lag jata hai,
Same isitarah factory mein problems hon ya hotel wa restaurant mein to is bone kay mukhfi asrat say har kisam kay masael dor hosaktay hain,
Is bone kay aur bhi hazaron fawaid hain, mazeed malumat kay liay aap muj say rabta kar kay malum kar saktay hain.
Past, Present, Future:
In teeno wish bones ka taluk past, present aur future say hai yehni,
1st bone ka taluk present yehni abhi kay halat say hai,
2nd bone ka taluk future yehni mostakbil kay halat say hai,
3rd bone ka taluk past yehni maazi kay halat say hai,
Jis shaks kay maazi mein agar koi masla raha ho woh hal na horaha ho jiski waja say oskay abhi kay halaat aur mostakbil kay haalat kharab honay ka dar hoto 3rd bone kay mukhfi asrat say oskay maazi kay halat thek hosaktay hain, jesay kisi shaks ko maazi mein koi bimari hogai ho jiska asar abhi bhi ho ospar to osay os bimari say nejat mil sakti hai, ya kisi shaks ki maazi mein kisi say narazgi hogai ho jis say on mein judai par ghai ho aur woh shaks lakh koshishon kay bawajod raazi na hota ho to is bone kay asrat say woh shaks maazi ki batain bhol kar razi hojata hai,
1st bone present yehni abhi kay bigray hoay boray haalat ko thek karti hai chahai woh haalat kisi bhi waja say kharab kuo na hon os mein behtari ani shoro hojati hai,
Same isitarah 2nd bone future yehni anay walay khatrat, hadsay, bimaria, maslay masael say mehfoz rakhti hai aur banday ka future acha rehta hai, in teeno khas bones kay bohat ziada fawaid hain yeh osi ko malum par saktay hain jiskay pas yeh teeno bones hon.
In teeno hudhud ki khas bones ko aak saath he kisi dabia mein dal kar ghar mein kisi mehfoz jaga rakha jata hai, yeh ghar kay sabi afrad kay liay faidamand hai in bones kay khas moakil ghar kay sabi afrad ki madad kartay hain,
Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*