Monday, August 10, 2015

Rooster WishBone Talisman


Murg ki rohaniat kay mutalik meinay apni blog site dawat e rohaniat mein kafi kuch share kia hai, aab mein yahan os khas bone kay mutalik tafseel batata hon jo murg mein hoti hai,


Opar image murg kay skeleton ki hai is mein aap ko wishbone jisay furcula bone kehtay hain isay red colour kia gaya hai takay aap jan sakain yeh kis hisay mein pai jati hai, mazeed tafeel say aap meri in photos mein dekht saktay hain,
   
Opar jo meinay photos share kia hain in photos ko dekhnay kay baad aap ko malum hogaya hoga kay yeh khas bone murg ki sabi bones say alag aur munfard hai aur yeh murg kay galay mein keemati har yehni necklace ki tarah hai, yek khas 2 shakha bone har parinday kay galay mein hoti hai aur yeh onkay puray jism ko balance mein rakhti hai, agar yeh bone parinday mein na ho to parinda ochal ya oor nahi sakta, yahi hadi parinday ko ochalnay aur ornay mein madad karti hai, murg ki puri body ka tawazon is hadi par kaim hai yeh to batain hoi science kay view say kay, aab rohaniat kay view say mazeed is khas bone kay mutalik israr batata hon,
Murg ki yeh khas 2 shakha hadi jisay wish bone kay nam say jana jata hai yeh amliyat ka khas tool ki tarah hai, is aak hadi say kai amliyat kiay jasaktay hain, is mein bohat zabardast rohaniat hai aur jo shaks is rohaniat ka ilm rakhta ho woh is aak hadi say kai amal kar kay logon kay masael ka ilaj kar sakta hai, is hadi say kismat ka hal yehni istakhara kia jata hai, muhabat, hob wa taskheer kay kam kiay jatay hain, is hadi kay amal say mia biwi kay darmian nafrat khatam hosakti hai, 2 muhabat karnay walon kay darmian judai par ghai hoto is hadi kay amal say onko phir say milaya jasakta hai, is hadi kay ghar mein ya shop, factory ya office mein honay say sabi bad asrat jesay jadu, jinnati asrat, nazar e bad wa hasad say protection milti hai aur is hadi ki barkat say ghar ya karobar ki jaga mein khushali aati hai, is hadi kay hazaron aymal hain jisay sab kay sab yahan likhna possible nahi, mein kuch khas aymal he yahan share karta hon jo asan hon, kai aysay amal bhi hain is hadi kay jo bohat moshkil hain jisay yahan share karna thek nahi, kuch aymal aysay hain jisay share karnay ki ijazat meray ustad nay nahi di hai, 
mein sab say pehlay is hadi kay zariay jo istakhara kia jata hai oskay mutalik detail share karta hon,

WishBone Divination:
Make a wish – the Wishbone 
The wishbone tradition is said to date back millenniums, carried from one culture to another in a attempt to bring luck to those areas in life where they long for thro greater abundance through some mysterious source.
We are familiar with drying the unbroken wishbone from a chicken or turkey and allowing it to dry. The tips of the wishbone were then held by two prosperity-seekers, each with their own wish, and they both pull to break the wishbone in two.  The person holding the larger portion of the wishbone was believed to be granted their wish. The more commonly known two-person breaking of a wishbone, is preceded by an ancient ritual that if two girls break the wishbone the one who gets the shorter piece will get married, the one receiving the longer piece will remain unmarried. These days some might see this as the opposite of our current day belief that the longer end is good luck, given the revolving door attitude of some marriages!


Wishbone divination, yehni wish bone say kismat ka hal ya istakhara karna, janwaron ki muktalif hadio kay zariay kismat ka haal dekhnay wala ilm bohat he qadeem hai aur dunia mein har culture apnay maksos tor tarikon say is ilm ko karta hai, wish bone say istakhara karnay kay kai tarikay hain, agar kisi ghar mein 2 jawan larkia hon onkay rishtay kahin say bhi na aatay hon to wishbone say istakhara kar kay malum kia ja sakta hai, iska tarika yeh hai kay dono behanay jomay kay din chicken ki koi bhi aysi dish banae jesay biryani ya korma jo sabi ghar walon ko passand ho, khana pakanay kay baad aak plate fakir kay liay alag nikal li jay, oskay baad ghar walon ko khana khilanay kay baad dono behnay sath alag khana khay, dono behnay jis plate mein khana khay os plate mein chicken ka woh piece ho jis mein wishbone ho, dono behnay ahtiat say khana khay istarah kay wishbone totay nahi, khana khanay kay baad wishbone ko alag kar kay baqi hadio ko billi ya kutay ko khilanay kay liay dia jay phir wishbone ko pani say achi tarah dho kar saaf kar kay mehfoz rakha phir jomay ki sham ko dono behnay alag room mein jahan koi dosra na ho wahan wishbone ki dono shakon ko pakar lain aur dono behnay shaadi ka soch kar ahista ahista dono shakhon ko khinchay lagain, khinchnay say koi aak shak tot jati hai, jis behan kay haath mein pakri shakh khinchnay say tot jay to oski shaadi hojay ghi aur woh khushal rahai ghi, jo wish hai oskay dil mein woh puri hogi, agar opari hisa totay to bohat jald an kareeb oska rishta ay ga aur husband ya to mazhabi hoga ya kafi rich aur khuhal hoga osay out of country lay jay ga, agar bone darmian say totay to shaadi kuch arsay baad achay karobari shaks say hogi jiski family bohat achi hogi aur larki ki zindagi susral mein khuhal guzray ghi, agar bone ki shakh puri he tot jay to shadi hogi lekin kuch arsay baad hogi kafi maslay masael honay kay baad lekin woh shadi bohat kamiab rahai ghi, husband bohat acha pyar karnay wala naseeb hoga, jis behan kay hath mein sabit wishbone ki shakh reh jay khinchnay kay doran to iska matlab yeh hua kay oski shadi mein bandish hai, agar yeh ritual 3 bar karnay kay baad bhi os behan kay hath sabit bone ay to sakt jadu ya jinnati asrat ki waja say os par bandish hai jiski waja say oski shaadi nahi ho pay ghi,
Aur bhi kai tarah say is bone say istakhata kia jata hai agar yeh malum karna ho kay mariz ki bimari jismani hai ya jadu kay asrat hain to kali murgi ko mariz kay bedroom mein sari raat rakha jata hai, dosray din suba ko murgi ko 7 bar mariz kay sar par say ghoma kar zibah kar kay os murgi ki wishbone nikal li jati hai aur murgi kay gosht ko ghar say dor kahin janwaron ko khila dia jata hai, wishbone ko achi tarah saaf karnay kay baad jomayrat ki sham magrib kay waqat mariz ghar ki chaat par wishbone haath mein lekar dil mein sochay kay meri bimari jadu ya bad asrat ki waja say hai ya yeh jismani bimari hai, yeh sochnay kay baad 2 shakha wishbone ki aak shakh mariz seedhay haath ki fingers say pakar lay aur dosri shakh apnay bhai, behan, maa ya baap ya koi dosra family member jiskay sath mariz ka khoon ka rishta ho woh osay pakarnay ko kahai, phir dono ahista ahista wishbone ki shakh ko khinchay, khinchnay kay doran wishbone ki aak shakh tot jati hai, woh shakh jo mariz nay pakar rakhi ho woh agar khinchnay kay doran tot jay to mariz par jadu kay asrat hain, agar family member kay haath mein pakri shakh tot jay aur mariz ki sabit rahai to mariz par koi bhi jadu kay asrat nahi osay jismani bimari hai, agar mariz kay hath mein pakri hoi shakh ka opari chota tokra tot jay to yeh sitaron kay bad asrat hain jo kuch arsa rahai ghay lekin ziada parayshani ki baat nahi mariz ko shifa milay ghi, agar woh shakh darmian say tot jay to mariz par jadu kay asrat hain aur sehat yab honay kay 50 50 chances hain, agar woh shakh puri he tot jay to mariz par sakt jadu ya jinnati asrat hain aur mariz ki jan ko khatra hai oski mot hosakti hai,
Puranay dor mein badshah kai shadia kartay thay onko apni biwio par shak bhi hota tha kay kis biwi ki muhabat ziada hai kon ziada sincere hai kon nahi to yeh malum karnay kay liay woh wishbone say istakhara karwatay thay, wishbone ka ilm rakhnay wala aamil badshah kay samnay khas amal karnay kay baad murgi ko zibah kar kay wishbone oski nikal kar badshah ki dono biwio ko deta woh dono wishbone ki dono shakhon ko pakar kar ahista ahista khinchti to jiskay haath mein pakri hoi shakh agar tot jati to woh biwi sincere nahi osay badshah say muhabat nahi, jis biwi kay hath mein shakh sabit rehti to oskay dil mein koi khot nahi oska dil saaf hai aur osay badshah say muhabat hai aur onka rishta apas mein mazbot rahai ga,
Isi tarah jung kay doran bhi wishbone kay zariay istakhara kia jata tha kay jung kay maydan mein kon galib rahai ga kon jeetay ga kis kay naseeb mein jeet aur kiskay naseeb mein shikast hogi,
The custom of snapping these bones in two after dinner came to us from the English, who got it from the Romans, who got it from the Etruscans, an ancient Italian civilization. As far as historians and archaeologists can tell, the Etruscans were really into their chickens, and believed that the birds were oracles and could predict the future.When a chicken was killed, the furcula was laid out in the sun to dry so that it could be preserved and so people would still have access to the oracle's power even after eating it. People would pick up the bone, stroke it, and make wishes on it.

Is khas 2 shakha bone say kai aymal kiay jatay hain, is khas bone kay mukhfi asrat ka har koi kael raha hai zamana e qadeem say lekar aaj bhi is bone say kai tarah kay aymal kiay jatay hain,
 LUCKY WISHBONE
The wishbone is the third member of the great Euro-American lucky charm triumvirate. Sometimes called the "merrythought" in the British Isles, the wishbone is a bone of fowl. It is the custom to save this bone intact and to dry it over the stove or by the fire (or, sometimes, to dry it for three days in the air, three being a fortuitous magical number) until it is brittle. Carry the Wishbone with you or put it in special place in your home as an amulet to attract good luck and to make wishes and dreams come true.


Wishbone say istakhara karnay kay ilm kay mutalik to aap nay jan lia, aab mein is khas bone kay amliyat kay mutalik yahan share karta hon, is khas 2 shakha bone say hazaron amliyat kiay jasaktay hain,

Wishbone Kay Amliyat:
Murg ki is 2 shakha hadi mein aysay zabardast asrat wa rohaniat hai jis say har kisam kay kam liay jasaktay hain lekin iska matlab yeh hargiz nahi kay kisi bhi murgi ko zibah kar kay yeh hadi nikal kar apnay pas rakhli jay is maksad kay liay kay aap ki wishes is say asani say puri hojay gi, dunia mein peda honay wali har shay kay sath oski khas rohaniat bhi hoti hai, humay yeh to asani say baray bozrogon ki zibani malum hojata hai kay is chez mein asrat wa rohaniat hai lekin os rohaniat ko kis tarah taskheer kar kay os say kam liay jay yeh bohat kam logon ko malum hota hai aur jinko malum hota hai woh is raaz ko apnay seenay mein he dafan kar kay rakhtay hain, wishbone ki khas rohaniat ko bhi taskheer kar kay is bone ko use kia jata hai tabhi aap ki har wish is bone ki rohaniat kay zariay puri hosakti hai, bina taskheer ki hoi ya bina amal ki hoi bone kisi kam ki nahi hoti osay apnay pas rakhna bekar hai,
Wishbone ki rohaniat ko kistarah taskheer kar kay is bone say kam lia jay yeh sab mein yahan share karta hon,
Wishbone 2 aksam kay murg say li jati hai safed rang kay murg aur kalay rang kay murg say, jo safed rang kay murg ki wishbone hoti hai woh har jaiz wish puri karnay ki salahiat rakhti hai iskay saat yeh goodluck, karobar, rupay peson ki problem khatam karnay kay kam kay liay aur dushmano say hifazat kay aymal mein use ki jati hai,
Kalay rang kay murg ki wishbone har kisam kay na jaiz wish puri karnay ki salahiat rakhti hai iskay sath safli aymal jesay kisi ko muhabat mein dewana karna, kisi ko apnay bas mein karna, bimar karna, 2 jano mein judai karwana wagayra jesay kamo mein use hoti hai,
Aab mein yahan safed rang kay murg ki wishbone hasil karnay ka tarika batata hon,

Safed rang kay murg ka amal orooj e mah yehni mahinay ki shorowat mein jab kamar zaid al noor ho yehni jab raat mein chand ki roshni tez ho aur jomay ki suba kay waqat iska amal kia jata hai aur aamil amal kay waqat kalay rang ka libas pehanta hai,
Kalay rang kay murg ka amal mahinay ki akhri tarikhon mein jab kamar nakis al noor ho yehni chand ki akhri tarikhay hon ya chand asman mein zahir na ho raat ko ghop andhera sa ho os waqat saturday ki raat ko amal kia jata hai safed rang ka libas pehan kar,
  
Ritualized Knife Athame:
Amliyati dunia mein har amal ka apna alag asool wa qawaid hota hai, Amliyat mein jo bhi chezain use hoti hain woh agar amal kay asool wa qawaid kay mutabik na ho to amal mein noks hojata hai aur sara amal kharab hokar olta hojata hai, jistarah khanay mein agar namak ya mirchi ziada hojay to umda say umda khana bhi bay maza hojata hai, same isitarah amliyat mein bhi har bareek chez par ghor kia jata hai kisi chez ko bhi mamoli samaj kar ignore nahi kia jata, jo bhi apnay kam mein dil say mehnat karta hai osay oski mehnat ka phal zaror milta hai dil tabhi lagta hai kam mein jab os kam say ishq ho, bohat kam aamil aysay hain jo aysa kartay hon aaj kal shortcut tarikay say kam karnay walay har jaga aap ko milay ghay koi ilaj kay liay aya to bhari keemat os say lekar kisi book say tawez dekh kar aam pen say paper par naqsh bana kar mariz ko chopka detay hain kay bhai jao sab thek hojay ga, mariz bhi ankhain band kar kay os par bharosa kar kay naqsh rakh letay hain magar jab faida nahi hota to apni kismat ko kosnay lagtay hain, inhe jahil behoda aamil logon ki waja say he rohani oloom badnam hogay hain, yeh jahil fraud aamil aab net par bhi har jaga agay hain aur meri site say sab photos aur texts copy kar kay apnay nam say alag website bana rahai aur facebook par bhi share kar rahai hain khud ko Ali pirzada keh kar logon ko fool bana rahai hain, magar aab Government nay yeh acha system bana dia hai phone ki sim kay biomatric ka, aab in fraud aamils ko easily pakra jasakta hai onkay diay phone numbers ki madad say, aab yeh jali fake log apnay phone numbers site par denay say daray ghay kay kahin pakray na jay, jo bora karay ga oska phal osay bora he milay ga, Allah pak inko hidayat dain,
Ritualized knife woh khas chori hoti hai jo amliyat kay kamo mein use hoti hai yeh 2 types ki hoti hain aak woh khas chori jis say zameen par hisar banaya jata hai protection kay liay ya agar kisi darakt par amal kia jata hai to yeh khas chori os darakt par lagai jati hai takay is darakt kay jinnat, asyab, badruh ya saaya say protection hosakay doran e amal, yeh chori istarah hoti hai,
Yeh khas chori 2 dhari hoti hai aur is say hisar ya protection kay kam kiay jatay hain amliyat kay doran,
Jo 2nd type ki chori hoti hai woh alag tarah ki hoti hai os say janwar zibah kartay hain amliyat kay doran, woh khas chori copper yehni tanbay ki banai jati hai jo istarah ki hoti hai,
Amliyat kay doran jo janwar zibah kiay jatay hain woh isi khas chori say zibah kartay hain takay janwar mein mojod jinnati asrat aamil ko noksan na pohancha sakay ya amal ko kharab na kar sakain is chori ko bananay ka tarikay istarah hai kay Atard yehni planet mercury jab 11 darja(degrees) borj hamal yehni Aries mein pohanchay os waqat surakh tanbay ki chori yehni knife banwa kar oskay dastay mein atard ki dawat ka wazaif konda yehni engraved kia jay aur chori par aak khas tilsim konda kia jay, phir raat kay waqat jab asman mein chand na ho bilkol andhera ho os waqat kokab e suraiya yehni pleiades jo 7 sitaron ka jhond raat ko asman mein nazar aata hai oskay zamnay is knife ko istarah rakha jay kay kokab e suraiya kay jhond kay beech kay sitaray par knife ki nok ka rokh ho yahan yeh amal bohat hoshiari say karna hota hai agar zara bhi galti hoi to amal kharab hokar olta hosakta hai, puranay dor mein Arab kay astrologer aak khas device use kartay thay jisay astrolabe kehtay hain,
 Astrolabe ki madad say arab kay olma e rohaniat wa aamil asani say sitaron kay aymal kia kartay thay jesay sitaron kay darjat malum karna ya sitaron ki seedh(angles) malum karna, is device say sitaron ki seedh ya angle bilkol accurate malum hojatay hain is device ki madad say calculation say najom kay aymal asani say kiay jasaktay hain, aab zamanay nay bohat taraqi karli hai aab astrolabe ki jaga laser pointer nay lay li hai, aab hum easily laser pointer ki madad say kisi bhi sitaray ki seedh mein amal e tanjim kar saktay hain,
 Aab mein wapis osi ritualized knife kay topic par aata hon, bina chand ki ghop andheri raat mein pehlay binoculars yehni dorbeen ki madad say kokab e suraiya talash kia jay,
 Oskay baad knife ki nok ka rokh kokab e suraiya ki taraf kar kay rakha jay,
Kokab e suraiya ki direction mein knife rakhnay kay baad oski nok ka rokh suraiya kay 7 sitaron kay jhond kay beech kay star par rakha jay, beech kay star ki bilkol accurate direction mein knife ki nok ko rakhnay kay liay astronomical laser pointer use kia jay,

Dorbeen aur laser pointer ki madad say hum easily kokab e suraiya kay center walay star par knife ki nok ka sira bilkol accurate direction mein rakh saktay hain, 
knife ko sahi direction mein rakhnay kay baad kokab e suraiya ki rohaniat ko invoke karnay ka amal kia jata hai, oskay liay pehlay khas dhoni jalai jati hai, dhoni mein loban, mustagi romi, sokhay ganay ki lakri aur chandan ki lakri jala kar iski dhoni di jati hai,
Dhoni denay kay baad aak khas wazaif kokab e suraiya ki rohaniat ko taskher karnay ka parha jata hai, is khas wazaif ko yahan share karnay ki mujay ijazat nahi mili isliay isay yahan share nahi kar raha, yeh wazaif 190 bar 30 mintues mein he parhna parta hai kuo kay jesay jesay waqat gozarta jay ga knife ki nok ki direction os star say hat jay ghi, asman mein stars to apni jaga fixed hain lekin dunia gol ghomti hai aur humay stars aak jaga say dosri jaga asman mein dikhai detay hai, kokab e suraiya ka wazaif bohat jalali hai iskay parhnay say jism mein ajeeb see bechani honay lagti hai, sab kuch bhol kar apnay hawaas ko apnay kabo mein kar kay jaldi yeh wazaif 30 minutes kay andar parhna hota hai oskay baad kokab e suraiya ki rohaniat wa moakil is knife mein ajatay hain aur yeh knife har tarah kay aymal e simiya mein kam aata hai,

The White Wishbone (Amal Murg Safed):
White wishbone yehni woh farcula bone jo safed murg say hasil ki jay yeh bone bohat lucky hoti hai, jiskay pas ho oska luck har kam mein acha rehta hai, dushmano say mehfoz rehta hai, dolat aur rupay peson ki kabhi kami oski life mein nahi hoti aur oski zindagi khushal rehti hai, safed murg ki wishbone hasil karnay ka tarika istarah hai kay orooj e mah yehni chand ki shoro ki tarikhon mein kamar zaid al noor ho yehni chand ki roshni tez os waqat jomay kay din kala libas pehan kar safed murg ko ahtiat say kisi bartan mein osi khas ritualized knife say zibah kia jay,
Murg ko ahtiat say zibah karnay kay baad pehlay oska sar aur gardan ka hisa kat kar alag bartan mein rakha jay oskay baad oskay panjay kat kar woh bhi alag kisi bartan mein rakhay jay, oskay baad khal aur par woh bhi achi tarah juda kar kay kisi bartan mein rakhay jay, phir wishbone ko bohat ahtiat aur hoshiari say os mein say nikali jay istarah kay woh bilkol bhi na totay, yeh bone bohat nazok hoti hai zara sa bhi zor dalnay say tot jati hai isliay kafi ahtiat say isay nikal kar achi tarah saaf kar kay dho kar kapray mein lapait kar mehfoz rakh li jati hai, oskay baad murg ki dono raan kay kay meat ko kat kar alag bartan mein rakha jay oskay baad beech wala seenay ka hisab bina oskay organs nikalay kisi matti kay bartan mein rakh kar opar say dosra matti ka bartan rakh kar gol e hikmat kia jay yehni naram matti say osay achi tarah seal kardia jay istarah,
Gol e hikmat yehni achi tarah bartan ko matti say seal karnay kay baad zameen mein garha khod kar koilay dal kar is bartan ko onkay center mein rakha jay istarah,
3 dino tak is bartan ko lagatar koilay ki aag ki heat mein rakhna hai takay bartan kay andar jo bhi organ hain woh andar he sab jal kar rakh hojay, koilon ki aag mein bartan rakhnay kay baad dosra amal karna hota hai, murg ka sar wa gardan, oski khal wa par, panjay aur raan ka gosht jo alag kar kay bartan mein rakha tha onko dunia mein rehnay wali 4 khas makhlokat ko khilaya jay woh makhlokat hain Insan, Darinday, Parinday aur Machlia,
Sab say pehlay murg ki dono raano kay meat ka korma banwa kar kisi gareeb zaef mia biwi ko khilaya jay, oskay baad murg kay panjo ko kalay rang kay kotay ya billi ko khilaya jay, oskay baad murg kay sar wa gardan kay meat ko tokray kar kay cheel ya kaway ko khilaya jay, murg ki khal wa paron ko daria ya nehar mein baha dia jay jahan fishes hon,
Is kam say farikh honay kay 3 din baad jo bartan koilon ki aag mein rakha tha osay wahan say nikala jay,
3 dino tak heat denay say matti kay bartan mein murg kay organs jal kar raakh hojatay hain aur sirf hadia baqi reh jati hain, is sabi raak wa hadion ko ahtiat say bartan say nikal kar haon dastay say pees kar sab ko powder ki tarah banaya jay, is powder ko ramad ya masan kaha jata hai, is powder mein black colour ki ink shamil ki jay,
 Phir is powder mili ink mein chand katray ittar kay shamil kar kay is khas ink aur osi zibah kiay murg kay par ki kalam say wishbone par os shaks ka nam oski walda kay nam kay sath likha jay jiskay liay yeh amal kia gaya hai,
 Yeh safed murg ki amal ki hoi wishbone bohat he lucky hoti hai yeh jiskay pas ho woh shaks har dil aziz hota hai, har koi is say muhabat say paysh ata hai, dushman kabi os par hawi nahi hotay, woh jis karobar mein haath dalay ga osay kamiabi naseeb hogi, rupay peson ki kabhi kami osay nahi hogi aur oski zindagi humaisha khushali mein guzarti hai, la ilaj bimario aur hadson say woh shaks humaisha mehfoz rehta hai yeh khas bone jis ghar, shop wagayra mein ho to woh jaga har kisam ki nahosat wa jadu kay bad asrat say mehfoz rehti hai, is bone kay khas moakil wa khodam os shaks ki hifazat kartay hain jis kay pas yeh bone ho aur oski har wish puri kartay hain, is bone kay hazaron khuwas hain jinhai sab yahan batana munasib nahi, jis kay pas yeh bone ho osay iskay khuwas kisi ko nahi batanay chahehai, is bone say har jaiz khuwaish puri ki jasakti hai,

La Ilaj Bimaria aur Amal e Wishbone:
La ilaj bimaria jo achanak kisi bhi shaks par attack kar sakti hain, aysi bimaria jiska ilaj doctors kay pas nahi hota, yeh bimaria insan ko oskay aymalo ki waja say hoti hain ya phir kalay jadu, jinati asrat, saaya, sitaron ki gardish, kisi ki bad dua, nazar e bad, kisi manhos jaga, manhos janwar ya insan ki nahosat ki waja say bhi hoti hain, agar kisi gareeb gharanay kay shaks ko la ilaj bimari hojay to os bicharay ki zindagi bhar ki kamai bimari kay ilaj mein kharch hojati hai aur phir bhi osay shifa nahi milti aur woh mar jata hai apni biwi aur masom bachon ko tanha gorbat aur karz kay daldal kay hawalay kar kay, aur agar woh shaks dolat mand aur ameer hai bohat say oskay guards hain jo 24 hours oski hifazat kay liay duty detay hain, pyar karnay walay aziz aur yar hain lekin jab la ilaj bimari honay say honay wali mot say oski dolat aur ameeri osay bacha nahi sakti, na oskay guards jo 24 hours oski hifazat kartay hain osay bacha nahi saktay aur na he pyar karnay walay aziz jan nichawar karnay walay yar wa dost osay bacha saktay hain aur woh sab ko tanha chor kar is dunia say roksat hojay ga aur oskay dushman aziz oskay baad oski dolat wa malkiat par aysh karain ghay jinhonay kala jadu karwa kar osay la ilaj bimari mein mobtala kar kay mot kay hawalay kardia, 
Kuch arsa pehlay ki baat hai meray pas aak zamindar shaks aata tha jiskay pas dolat ki koi kami nahi thi, mein istakharay ka hadia 200 rupay leta hon magar woh mujay 2000/- rupay day jata tha, meinay iskay kai masael apnay ilm say thek kiay aur as a family physician mein onki family member kay masael bhi apnay ilm say thek karta tha, aak din meinay os zamindar shaks ka hisab ilm ramal say banaya to bohat he sakt oska hisab aya meinay osay kaha kay apka hisab kafi sakt araha hai aap kay dushman aap kay apnay aap par sakt kisam ka kala jadu karwa rahai hain aap please apni protection ka bara amal muj say karwa lo, magar woh os waqat aak young larki par aashiq tha, kehnay laga kay abhi sab kuch thek hai mein bhi fit hon aap ko bara amal karna hai to pehlay is larki ka karo kay meray kabo mein ajay meri dewani hojay jitna kharcha hoga os say double donga new car bhi aap ko gift karon ga, meinay osay bohat samjhaya kay aap pehlay protection ka amal karwao jan hai to jahan hai larkia to aap ko bohat aur bhi mil jay ghi magar osnay meri kisi advise par dhian nahi dia, larki kay ishq nay oskay zehan ko bandh dia, khair meinay oska kam lia jo osnay mujay dia aur woh meinay pura kia aur woh os larki mein busy hogaya muj say rabta na rakha kai arsay tak, phir 6 months baad os zamindar ki wife nay muj say rabta kia aur apnay ghar bolaya jahan sab oskay aur bhi aziz bethay thay oski wife nay bataya kay onkay husband ko cancer ki bimari hogai woh hospital kay icu mein hain please aap onka rohani ilaj karain, meinay onko kaha kay mein siwa dua kay aur kuch nahi kar sakta, woh sab ronay lag ghay oski wife nay apnay saray sonay kay zewar meray pao par rakh diay aur kaha kay please yeh zewar lay lo hum aap ko new gari aur bungalow bhi dain ghay please jistarah ka bhi ilm karain onko bacha lain hum nay to aap ki bohat tarif soni hai kay aap apnay ilm say kuch bhi kar saktay hain, meinay onko kaha kay mein onki help kar sakta tha lekin aab nahi kar sakta kuo kay woh last stage par aghay hain meinay onko kaha tha kay protection ka amal karwa lain magar onhonay meri baat par dhian nahi dia, aap sab onkay liay dua karain mein bhi onkay liay dua karon ga,
Mujay malum tha aysa hona tha magar os waqat jab oska hisab sakt aya tha agar woh protection ka amal karwa leta to kalay jadu ki waja say honay wali cancer ki bimari say bach jata, kuch arsa baad mujay malum hoa kay os zamindar ki death hogai aur bhai nay oski sari dolat, zameeno aur ghar par kabza kar lia aur os zamindar ki biwi apnay bachon kay sath alag aak chotay say makan mein reh rahi hai jisay zamindar kay bhai nay har chez say osay bay dakhal kardia, yeh hasad aur nafrat ki aag hoti jo aak choti see chingari ki tarah hoti hai jo barhtay barhtay khatarnak aag ki shikal lay leti hai aur yeh aag sab ko jala deti hai, yeh hasad aur nafrat ki chingari meinay bohat pehlay ilm ramal kay hisab mein dekh li thi mujay malum tha kay yeh bhayanak aag ki shikal lay gi aak din aur wahi hoa, agar zamindar os waqat muj say protection ka amal karwata to mein osay yahi wishbone deta, yeh aam see dikhnay wali murg ki hadi osay tabahi say bacha sakti thi, rohani ilaj karnay walay aur doctors jab kisi patient ka maina kartay hain to onko zahiri aur chop hoi har patient ki takleef malum hojati hai aur woh patient ko advise kartay hain lekin bohat kam log os advise par amal kartay hain, jesay for example aak patient ko fever hai woh doctor kay pas jata hai kay doctor sahab mujay fever ki medicine dijiay to doctor oska maena karnay kay baad osay fever ki medicine denay kay sath payt kay dard ki bhi medicine deta hai, patient doctor ko yahi kahai ga kay bhai mujay to fever hai aap sirf fever ki medicine dain yeh payt kay dard ki medicine kuo day rahai hain? patient yahi samajta hai kay doctor apni fees barhanay kay liay ziada medicine day raha hai jo fazol hain aur woh sirf fever ki he medicine khata hai lekin jab payt ka bard osay honay lagta hai to dobara doctor kay pas bhagta hai aur ziada fees day kar apna dobara ilaj karwata hai agar woh pehlay fever ki medicine kay sath payt kay dard ki bhi medicine kha leta to osi mein sab thek hojata,
Same isitarah hum bhi jab kisi ko advise kartay hain kay bhai yeh khatra hai aap yeh bhi amal bara amal karwa lo to samnay wala yahi sochta hai kay pesay lenay kay liay wazol mein bara kam karnay ka keh raha hai aur woh yahi kehtay hain kay aap osay abhi rehnay do pehlay yeh karo, aab hum zabardasti to osay force nahi kar saktay isliay hum phir wahi kartay hain jo woh kehtay hain, jo humari advise par amal kartay hain woh kamiab rehtay hain, wishbone ka protection kay hawalay say jo amal hota hai woh bohat best rehta hai, meray pas istarah kay kai cases atay rehtay hain aur meinay isi bone kay amal say onki help ki hai aur dushmano say woh mehfoz hokar apni family kay sath khushal zindagi gozar rahai hain,
Kalay jadu say honay wali la ilaj bimario mein aak bimari shehwat ki hai, jab kalay jadu say kisi mard ki shehwat bandh detay hain to woh apni biwi kay sath hum bistar nahi hopata, kisi bhi doctor ya hakim ki dawa osay is bimari say nejat nahi day sakti, biwi osay na mard samajnay lagti hai aur osay apnay husband say sakt nafrat hojati hai aur woh dosray mardon mein invole hojati hai jis say os shaks ka khushal gharana tabha wa barbad hojata hai, istarah kay kai cases meray pas aatay rehtay hain jisko yeh bimari hoti hai woh dosri aurton say jab hum bistar hotay hain to normal hotay hain lekin apni wife kay sath hum bistar honay say koi an dekhi force onko aysa jakar leti hai jis say lakh koshish karnay par bhi feelings nahi aati is say yeh baat clear sabit hoti hai kay osay os maksos aurat jo oski biwi hai osi say jadu karkay bandh dia gaya hai takay oski aulad ya waris peda na hosakay ya osay divorce day kar dosri jaga shadi kar lay kai wajohat hoti hain, iska tor wishbone kay amal say kia jata hai, amal ki hoi wishbone ko bedroom mein bed kay kareeb rakhnay say yeh bandish khatam hojati hai aur husband aur wife kay darmian shaded muhabat peda hojati hai aur bhi bad asrat jo onko apas mein judai dalwanay kay liay hongay woh asrat khatam hojay ghay,
Shehwat ki yeh bimari aurton ko bhi hoti hai jinnat wa asayb jab kisi aurat par aashiq hojatay hain to woh osay oskay husband say dor kar detay hain, hum bistar kay doran aurat ko apnay husband say sakt nafrat aur ghin see honay lagti hai jis say osay koi feelings nahi aati lekin jab woh tanhai mein bistar par hoti hai to kisi an dekhi kowat kay haath osay apnay jism par touch hotay mehsos hotay hain jis say osay bohat feelings anay lagti hain, yeh bimari bohat khatarnak hai is say aurat bohat kamzor hojati hai ya pagal hokar nafsiati marez ban jati hai, is bimari ka ilaj bhi safed murgi ki amal ki hoi wishbone say kia jata hai, yeh wishbone aurat kay bedroom mein honay say jinnati asrat os aurat say dor hojatay hain,
kai aysay ghatia log bhi hain jo kisi dushmani ki waja say nimazi parhayzgar, pak saaf rehnay wali ba parda aurat par kala jadu kar kay behoda bana detay hain aur woh aurat har mard mein interest lenay lagti hai jis bhi mard ko dekh lay osay shaded feelings aur behoda khayalat anay lag jatay hain jab tak woh os mard say hum bistar na hojay woh khayalat bar bar oskay zehan mein anay lag jatay hain, is bimari ki waja say kai aurtay apni izat ghar sab kuch tabha barbad kar deti hain, is bimari ka ilaj bhi isi wishbone say kia jata hai, hum jins parasti ki bimari bhi isi wishbone say thek hosakti hai, istarah ki kai bimarion ko meinay is wishbone kay amal say thek kia hai aur kai log is bone kay mukhfi asrat say faida hasil kar kay khushali mein zindagi guzar rahai hain,

Taskheer wa Muhabat aur Amal e Wishbone:
Achay Luck aur Protection kay ilawa Wishbone yehni murg ki 2 shakha farcula bone hob wa taskher yehni aymal e muhabat jesay kamo kay sath bhi iska gehra taluk hai,
Yeh bone husband aur wife kay darmian nafrat khatam kar kay on mein muhabat peda karti hai, yeh nafrat chahai kisi bhi waja say kuo na ho khatam hojati hai, aab mein yahan kuch amal share karta hon,
*Amal 1:
Agar koi aurat yeh chahai kay oska husband os say muhabat karay dosri aurton ki taraf na jay apnay ghar walon say ziada ospar dhian day oski har baat manay to aurat amal ki hoi murgi ki wishbone ki dono shakhon mein apnay baal lapait kar bone kay aak taraf apna nam dosri taraf husband ka nam likhay oskay baad husband kay pasenay walay kapray kay tokray mein lapait kar aysay cup ya glass mein osko rakhay jis mein dono husband wife tea ya pani peetay hon, phir is cup ya glass ko bedroom mein chopa kay aysi jaga rakh day kay koi dekh na sakay, is amal say husband apni wife ki muthi mein ajata hai jesa woh kehti hai wesa karta hai, yeh amal on husbands kay  liay best hai jo apni biwi ko martay hon, shak kartay hon aur kharcha na detay hon, 

*Amal 2:
Agar koi mard kisi aurat ko passand karta ho osay hasil karna chahata ho lekin aurat osay passand na karti hoto mard amal ki hoi kalay rang kay murg ki wishbone hasil karay phir oski aak taraf apna nam dosri taraf aurat ka nam likhay phir os aurat kay pasenay wala kapra ya oska used tissue paper hasil karay phir kisi air tight jar mein wishbone dal kar mard apnay pasenay walay kapray kay tokray ko aurat kay kapray kay tokray kay sath mila kar pani mein on kapron ko wet yehni gila kar kay jar mein pari wishbone par woh pani nichor kar dalay oskay baad in kapron kay tokron ko bhi jar mein dal kar airtight dhakan say achi tarah band kar kay jar ko kalay kapray mein lapait kar andheri jaga mein kahin rakh day, is amal say aurat ko khoab anay lagay ghay os mard kay woh oski taraf aysi attaract hogi kay siwa oskay aur koi mard osay passand he nahi ay ga,

*Amal 3:
Amal ki hoi Wishbone ki 2 shakhon mein say jo right side ki shakh hai woh agar kisi ko pees kar khila dain woh muhabat karnay lagay aur jo bhi kam osko kaha jay foran karday, dosri shakh dushmani kay aymal kay liay khilai jati hai jesay 2 logon mein judai aur nafrat karwana etc,


Need a Wish Bone?
Wishbone kay aur bhi kai amliyat hain in sab amliyat ko yahan share karna posible nahi yeh sabi amliyat amal ki hoi wishbone say he hotay hain, agar aap ko amal ki hoi wishbone chahehai aur oskay amliyat to aap muj say rabta kar kay lay saktay hain,



Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*