Thursday, September 12, 2013

Talisman Rings



5 Naksh wali Ring:
Yeh Ring jo chandi ki bani hoti hai, is khas ring kay gemstone ya naginay kay nechay 5 naqsh konda kiay hoay rakhay hotay hain, nechay say yeh ring bilkol band hoti hai aur istarah yeh naqsh har waqat parday mein mehfoz rehtay hain aur pehannay walay ko kisi bhi halat mein ring otarnay ko taklof nahi karna parta, is khas ring kay fawaid yeh hain kay jo shaks yeh ring pehnay to nazar e bad, jadu, asyab, sotay mein darna, wiswisa shaitani, safar kay hadsat, gharilo masail wagayra say mehfoz rahai ga, InshAllah tejarat mein barkat, rozgar mein taraqi, adaigi karz, molazmat ya job mein kamiabi hasil ho, yeh ring har halat mein pehni jasakti hai, aurton kay liay ring kay ilawa naqsh ka locket bhi galay mein dalnay wala mil sakta hai, is ring mein jo 5 khas naqsh hain onki tafseel yeh hai:
1, Naqsh Horof Maktat:
Yeh naqsh jiskay pas rahai ga ospar ter, naiza, talwar, chaku, chori, goli wagayra ka asar na hoga, kisi kisam ka sehar wa jadu wagayra ospar asar na karay ga, har kisam ki afaat say mehfoz rahai ga, khushal rahai ga aur har shaks izat karay ga.
2,Naqsh Darood sharif:
Janon, mirgi, dard e shakeka, kanthmala, nazar bad, har kisam ka dard, bokhar, adhay sar ka dard, naf talna wagayra bohat say kamo kay liay mojrib hai.
3,Naqsh Taskher e khalaik:
Yeh naqsh har kisam ki kamiabi kay liay akseer hai, mokadma, imtehan, hakim kay samnay jana, na itfaqi, hadsat, larai jhagra wagayra na hon etc, har taraf meharbani hogi, akalmanda ishara kafi asth.
4,Naqsh Ya Aziz:
Is naqsh ko pehannay say dushman par golba aur fokiat hasil ho, hakam wa salateen kay samnay jay to izat ho, har kisam kay shar aur kharafat aalam say mamon ho, israr e izat say arasta ho, rizaq mein barkat aur karobar mein taraqi ho.
5, Naqsh Ya Manan:
Hasool rozgar, dolat wa wasat rizaq kay liay mojrib hai.

Ring pehannay ka tariqa:
Ring hasil karnay kay baad saet e kamar yehni monday kay din suraj tilo hotay waqat ring ko loban ki dhoni de jay ya koi bhi ittar ring par laga kar ring ko pehan lay aur koi meethi chez ka niaz bachon ko khila day, inshAllah Ring apna asar dikhana shoro karday gi.
With Ritualized Charged, Price: 5000/- PKR



24 Naqsh wali Ring:
Is ring kay kamalat wa fazail aur fawaid ahata tehrer say bahir hain, youn samjhay kay goya samandar dar koza hai, is mein 5 naqsh kay ilawa mazeed 19 naqsh hain, tarika e istamal wahi hai jo 5 naqsh wali ring ka hai, degar 19 naqsh ki tafseel yeh hai:
6,Naqsh har dard dor:
Yeh naqsh har kisam kay dard, bokhar wagayra kay liay, naiz har dil azizi kay liay hai aur beshumar barkatay wa fazilatay rakhta hai, yeh naqsh 32 ka hai jo badu aur wahab 2 ismo ka morakab hai.
7,Naqsh Tatmaen al-qalob:
Dil ki bimario kay liay hai, yeh naqsh Haade ka hai, har kam is ism pak ki barkat say anjam pata hai.
8,Naqsh bara e bokhar:
Aur har marz kay liay mofeed hai, yeh 15 ka naqsh hai.
9,Naqsh bara e sang masana wa gorda:
Is tarah kay amraz kay liay nehait mofeed hai.
10,Pandhara ka Naqsh:
yeh 15 kay sath dosray nakosh par moshtamil hai, har kam kay liay mojrib hai.
11, Naqsh bara e amraz mard:
Mardana amraz kay liay bohat mofeed hai.
12, Naqsh Dafa ahtalam:
Yeh marz agar ziada hoto yeh naqsh is marz kay liay akseer hai.
13,Ghani aur dolatmand honay ka Naqsh:
 Latif ka yeh naqsh molazmat ya rozgar kay liay fikar wa faka say bachnay kay liay, amdani barhanay kay liay, gorbat khatam honay kay liay aur khalk khuda ka lotaf wa shifkat panay kay liay hai.
14,Ism Wahab ka Naqsh:
Rizaq mein barkat kay liay, fikar wa faka khatam karnay kay liay hai, Allah pak itna ata farmata hai kay heran reh jay.
15,Ism Razaq ka Naqsh:
Ghaib say rozi milay, zaroriat e zindagi puri hon.
16,Naqsh ism zaat Allah:
Har murad hasil honay aur moaziz honay kay liay hai.
17,Naqsh Khaeyas:
Har dard kay liay akseer hai.
18,Ism Jabar ka Naqsh:
Makasid mein kamiabi, dushmano par golba hasil ho, nafs maglob aur shehwat say mehfoz rahai.
19,Ism Fatah ka Naqsh:
Yeh naqsh imtehan ya exam denay walon, wakeelon, manazaron, nai ayjadat karnay walon wagayra kay liay bohat he mofeed hai,moshkilat mein asani, mokadmat mein kamiabi kay liay akseer hai, darr, khof dor karnay kay liay yeh naksh bohat faida deta hai, iska istamal har khatray say mehfoz rakhta hai.
20,Ism Karim ka Naqsh:
Zindagi khushal rahai, tangdasti aur moflesi dor ho, dolat, izat wa shohrat har kisam ki nehmat say mala mal ho.
21,Naqsh bara e wasat rizaq:
Hasol e dolat aur wasat e rozgar kay liay akseer hai.
22,Ism Wadod ka Naqsh:
Har shaks muhabat say paysh ay, na farman taskheer hojay.
23,Naqsh Shifa Amraz:
Har marz kay  liay akseer hai.
24, Naqsh Har Nehmat:
Yeh naqsh har kisam ki afaat ko dor karnay aur khushali kay liay hai.

Ring pehannay ka tariqa:
Ring hasil karnay kay baad saet e kamar yehni monday kay din suraj tilo hotay waqat ring ko loban ki dhoni de jay ya koi bhi ittar ring par laga kar ring ko pehan lay aur koi meethi chez ka niaz bachon ko khila day, inshAllah Ring apna asar dikhana shoro karday gi.
With Ritualized Charged, Price: 5000/- PKR
Note: Naqsh ya Taweez wali ring kay liay aap apni passand ka ya apnay star say match birthstone bhi order par muj say banwa saktay hain. 

Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165                  ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~



Tuesday, September 10, 2013

Talismans For Money

Money, yehni rupay peson ki waja say har shaks parayshani mein mobtala hai, bandish, jadu ya kai kisam kay mokhfi bad asrat mein mobtala kai shaks zahir mein to tip top rehtay ya thek nazar atay hain lekin andar ka hal bas wahi jantay hain kay woh rupay peson ki waja say kitnay parayshani mein hain, job mein maslay masail, karz ka boj etc, kai logon ki bohat achi jobs hoti hain achi amdani hoti hai aur acha khasa rupya pesa onko milta hai lekin woh pesa rokta nahi aysay kharch hojatay hain kay woh khud he heran wa parayshan hojata hai kay akhir aysa kuo horaha hai, kuo akhir saving nahi hopati, woh jitni koshish karta hai kay peson ko bacha kay rakhay magar nahi bacha pata sab kay sab kharch hojatay hain aur osay feel hota hai kay koi andekhi force ki waja say horaha hai aur yeh andekhi force he bad asrat hain jo insan ko bimari kay virus ki tarah lagtay hain, in virus ya bad asrat say chotkaray aur rupay peson mein barkat ho, fazol pesay kharch na hon, job mein maslay masail na hon ya koi bimari ya hadsa na ho jis mein pesay saray kharch hojay istarah ki sabi problems ko dor karnay kay liay khas taweez aur naqsh mein yahan share kar raha hon, jo har tarah ki problems jo money ya rupay peson ki waja say ho woh khatam hojati aur in naqsh ya taweez ko rakhnay walay shaks par aak hisar sa ban jata hai jis say woh har kisam kay mokhfi virus ya bad asrat wa bandish say mehfoz rehta hai.

Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekin Yahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com


Rozana Kharch karay magar pocket khali na rahai, yeh naqsh chandi kay patray par konda kia hua, ittar laga kar pocket mein rakhain, agar is naqsh ko takseer janah kay naqsh kay sath rakha jay to iskay zariay bohat say fawaid hasil hosaktay hain.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR

 
Karz wasol honay aur ada honay kay liay is naqsh kay sath aak amal bhi hai jo opar image mein meinay share kia hai, agar kisi par aap ki rakam ho aur woh dena nahi chahata ya aap par kisi ka karz hai aur oski adaigi ki koi surat peda nahi hoti, amdani itni nahi kay is mein say bacha par karz dia jasakay to is naqsh ko apnay pas rakhay aur opar jo amal likha hai woh karay, jab tak yeh naqsh pas rahai ga, karz kay gham say mehfoz rahai ga aur jab koi zarorat paysh ay gi, Allah pak iska hal peda farma dayga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

Talismans For Husband & Wife Love


Hasad, Jalan ya shak aak aysi na dikhai denay wali aag hai jis mein insan har waqat andar he andar jalta rehta hai, Hasid yehni hasad karnay walay log jab do mia biwi ko apas mein khush aur khushal dekhtay hain to onhain onki khushi dekh kar jalan hoti hai woh bardash nahi kar patay ya to woh mia biwi kay dil mein aak dosray kay liay nafrat dalnay kay liay tarah tarah ki batain kartay hain, shohar ko biwi ki galat batain kahai gay ya biwi ko shohar kay mutalik galat news day ghay istarah ghar kharab karnay ki woh har mumkin koshish kartay hain, kai husband aur wife kay darmian jhagray aur fasad shoro hojatay hain aur onka ghar kharab hojata hai lekin kai husband aur wife aysay bhi hotay hain jinko aak dosray par paka bharosa hota hai woh dosron ki galat bataon ya news par yakin nahi kartay, jab hasid ya hasad karnay walay dekhtay hain kay onki galat bataon ya news say onpar koi asar na hua to phir woh kalay jadu ka sahara letay hain aur tarah tarah kay ganday ilm aur jadu karwa kar husband aur wife kay darmian judai karwa detay hain, yeh ghatia hasad karnay walay log har jaga kahin bhi hosaktay hain jesay khandan, family ya relatives mein, paros mein, friends mein etc, kai hasad karnay walay log out of family ya relation mein say bhi hosaktay hain jesay koi kisi larki say pyar karta ho aur os larki ki shaadi kahin aur hojay ya koi larki kisi larkay say pyar karti ho aur oski shaadi kahin aur hojay to hasad aur jalan mein woh kala jaadu karwatay hain kay hum dokh aur ranj mein hai woh wahan kuon apnay ghar mein khush rahai aur osay tabha wa barbad dekhna chahatay hain isi liay woh tarah tarah kay jadu karwa kar husband aur wife kay khushal ghar ko tabha kar detay hain,
Kai husband aur wife kay stars bhi apas mein match nahi hotay onki tabiat aur nature apas mein bilkol bhi nahi milti, woh har mumkin koshish kartay hain kay onki apas mein muhabat barhti rahai lekin phir bhi koi na koi aysi baat ho he jati hai kay jhagray, fasad aur nafrat hojati hai,
Isi tarah Shak bhi aak marz hai jis mein kai log mobtala hotay hain zara zara see baat par shak karna jiski waja say ghar mein roz jhagray honay lagtay hain ghar ka chain wa sukoon barbad hojata hai, problems ziada masom bachon ko hoti hai mia biwi to aak dosray ko divorce day kar alag alag dosri jaga shaadi bhi kar letay hain lekin masom bachon ka future tabha wa barbad hojata hai, onko thek say na ma ka pyar mil pata hai na bap ka, shak ki bimari ka ya hasad, jalan, jadu ya sitaron ki problems ka ilaj medical science mein to nahi hai lekin olma e rohaniat kay pas in bimario ka ilaj mojod hai, in sabi problems ka taluk ruh say hai aur ruh agar khush nahi to dunia ki har nehmat honay kay bawajod bhi insan khush nahi rehta, is ruh ka ilaj rohani tarikon say hota hai yehni jhar phonk ya tawezat say, yahan mein kuch azmoda khas taweez share kar raha hon jo har tarah ki husbad aur wife kay darmian honay wali problems ko theek kar kay on mein aak dosray kay liay muhabat peda karnay ki salahiat rakhtay hain, in tawezat ka har ghar mein hona zarori hai takay shaitan sifat logon kay boray iradon say apnay aap ko, family aur ghar ko bachaya jasakay.

Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekin Yahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com

Naqsh Muhabat zan wa shohar:
Yeh naqsh kai fawaid kay sath shohar aur biwi ki na itafaqi dor karnay kay liay mojrab hai, isay dho kar iska pani khud piay aur shohar ko bhi pila day, jo aurat apnay shohar ki nazar mein mehbob hona chahai to is naqsh ko har waqat apnay pas rakhay.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR

 
Yeh Taweez jo ibarat par moshtamil hai, shohar ko naik bananay aur konwari ki shaadi kay liay akseer hai, agar kisi ka shohar badkar ya bad kirdar hoto biwi yeh tawez galay mein pehnay aur konwari larki naik shohar chahai to woh bhi galay mein pehnay, ibarat mein pehlay lafz falan ki jaga nam aur dosray falan ki jaga ma ka nam likha jay yehni jiskay liay zarorat hai oska aur oski ma ka nam likha jay.
Agar larki jawan hogai ho aur shadi kay liay acha rishta kahin say na aata hoto yeh naqsh larki kay galay mein dalain, inshAllah marzi kay mutabik shohar milay ga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR

Naqsh Isma e As hab kehaf:
Yeh khas naqsh kai fazilaton aur barkaton ka hamil hai aur khosusan har kisam kay hamlon say nejat panay kay liay maslan:
jinn wa insan wa haiwan wagayra kay nehait mofeed hai, do doston,
bhaion, behan bhai, mia biwi, ma bayton wa degar akarba, molazim ya malik ya afsar, in tamam afrad kay darmian muhabat kay liay yeh naqsh bohat mofeed hai, is naqsh ko pani mein dal dain aur iska pani ahal e khana ko pila ay to sab mein mael, muhabat wa kholos peda ho.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165



Thursday, September 5, 2013

Talismans For Protection

Dunia mein har insan ki yahi khuwaish hoti hai kay woh apni zindagi sokh wa chan aur khushali mein gozaray is maksad kay liay woh je tor mehnat karta hai, bhagdor karta hai jitna oskay bas mein hota hai woh sab karta hai, oski zindagi mein kai achay log miltay hain jo farishton ki tarah hotay hain onki madad aur saath say oski zindagi khushal ban jati hai aur jetay je yeh dunia oskay liay jannat ki tarah ban jati hai, aur kabhi aysay boray log bhi miltay hain jo oski zindagi tabha barbad kar kay rakh detay hain aur yeh dunia jetay je oskay liay jehnom ki tarah banjati hai,
"Haalat" chahai achay hon ya boray insan ki zindagi mein bata kar nahi aatay, insan ki zindagi kay haalat kabi bhi badal saktay hain, insan ko bas himat aur hosalay say haalat ka muqabla karna hai, agar oskay achay halaat hain to yeh na samjay kay humaysha yahi achay haalat rahai gay, agar boray halaat hain to yeh na samjay kay humaysha yahi boray halaat rahai gay, Haalat ko samajnay aur oska muqabla karnay kay liay Allah pak nay insan ko zehan dia hai aur kai nishania dunia mein peda ki hain takay insan onko dekhay, ghor karay aur samjhay kay haalat humaysha aak jesay nahi rehtay, jistarah mosam badalta rehta hai isitarah insan kay haalat bhi badaltay rehtay hain, agar aak he mosam humaysha rahai to nizam e dunia tabha hojay, istarah agar aak he haalat insan ki zindagi mein rahai to nizam e insaniat tabha hojay, 
Aap nay aksar choti choti chintio(ants) ko dekha hoga, barishon kay mosam ya sardi kay mosam shoro honay say pehlay he woh khanay ki chezain apnay bil mein jamah karti rehti hain aur itna kuch jamah kar leti hain kay saray mosam mein apnay bil mein bina kahin niklay mazay say beth kar khati hain, khuda nay itni choti chonti ko akal di hai kay osay malum hai kay anay wala waqat onkay liay bora hai isliay woh pehlay say he apna bandobast karleti hain, same isitarah insan ko bhi apnay anay walay waqat ka bandobast karna chahehai,
Yeh to baat hoi qudrati haalat ki jo mosam ki tarah insan ki zindagi mein badaltay rehtay hain lekin aysa bhi hota hai kay insan par jab boray haalat aatay hain to badalnay ka nam he nahi letay, insan apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay oskay haalat badal jay magar woh apnay aap ko istarah feel karta hai jesay woh kisi andekhi taqat ya kowat ki qaid mein hai jisnay osay jakar rakha hai jab tak woh is qaid say nahi niklay ga oskay haalat nahi badlay gay,
yeh andekhi kowat dekhai nahi deti magar isay mehsos kia jasakta hai, iski misal deemak ki tarah hai,
Mujay aaj bhi yaad hai meray bachpan ka woh wakia jab mein apnay gao kay haray bharay baag mein khelta tha jahan har taraf ghanay darakt hotay thay khiza ka mosam aata tha to sab darakton kay patay jhar jatay thay aur woh bilkol khushk aur morda lagtay thay, parindon kay gosalay khatam hojatay thay har taraf veerani aur udasi cha jati thi, na parindon ki meethi awaz na titlia dikhai deti thi, sara mahol gham aur udas sa nazar aata tha, lekin jab bahar ka mosam aata tha to wahi sokhay darakt haray bharay hojatay thay on mein phol aur phal ajatay thay, parinday onpar lot kar aatay thay, tetlia har taraf nazar anay lagti thi, har taraf pyar bhara mahol dekhnay ko milta jesay dekh kar rooh khush hojati thi, osi baag mein mujay aysa darakt bhi tha jo bohat hara bhara aur ghana tha hum sab wahan bachpan mein kheltay thay lekin phir woh ahista ahista khushk honay laga, pehlay aak tehni khushk honay lagi oskay patay jhar ghay phir dosri tehni phir tesri istarah ahista ahista woh khatam honay laga, kisan nay har mumkin koshish ki osay hara bhara rakhnay ki, achi matti dali,khob pani dia, keeray mar spray saray darakt par karwaya magar koi faida na hua, oska marz kisi ko samaj mein he nahi araha tha kay akhir waja kya hai jo yeh istarah khushk hota jaraha hai, akhir ak din woh pura khushk hokar bilkol khatam hogaya, aak din mein apnay cousin kay sath osi darakt par tayk laga kar batain kar raha tha kay meray bazo ki koni os sokhay darakt mein dhans gai, meinay jab darakt ko daba kay dekha to woh andar say khokhala tha, meinay osmein hole kia to matti kay sath deemak nikal ai, aab meri samaj mein baat ai kay yeh deemak thi jo ahista ahista is darakt ki pehlay jaraon ko khati rahi phir andar he andar is puray darakt ko he chaat kar kha gai, zahir mein to bilkol malum na hua na kisan ko na kisi aur ko,
Same isi darakt he ki tarah jab insan par sakti aati hai chahai woh dushman kay kalay jadu ki waja say ho, jinnat wa asayb, saaya ya bad ruh ki waja say ho, nazar e bad ya hasad ki waja say ho ya sitaron ki gardish ki waja say ho, ya kisi ki bad dua say ho wagayra to insan bhi same isi darakt ki tarah hojata hai, jistarah darakt ki pehlay aak tehni khushk hoti hai phir dosri ki bari aati hai phir tesri same isitarah pehlay insan ki job mein maslay hotay hain, phir rupay pesay mein sakti ajati hai, phir family mein, phir doston yaaron mein, phir oski sehat par hamla hota hai, woh insan darakt ki tarah andar say bilkol khokhla sa hojata hai oskay bas kuch nahi rehta, saktia osay deemak ki tarah andar he andar slowly osay har chez say mehrom kar deti hain,
Yeh bad asrat ki waja say honay wali saktia bhi rohani amraz ya bimaria hain, jistarah doctors tarah tarah ki chezon jesay janwaron kay organs, jari botia aur chemicals ko apas mein mila kar antibiotics medicine banatay hain same isitarah zamana e qadeem say lekar aaj bhi olma e rohaniat tarah tarah kay tarikon say aysay taweez aur naqsh banatay hain jo bad asrat ki waja say honay wali sakti kay liay akseer hain, in taweez aur naqsh kay istamal say bad asrat wali kowaton say os insan ko azadi mil jati hai jo in kowaton ki qaid mein hota hai jiski waja say har jaga bandish see par jati hai oski zindagi mein,
Samajdar insan wahi hai jo pehlay say apna bandobast kar kay rakhay takay in bad asrat say bacha jasakay, yahan mein kuch azmoda taweez aur naqsh upload kar raha hon jo protection yehni har kisam kay bad asrat ki hifazat kay liay hain, in taweez ya naqsh ko aap apnay pocket mein rakhain ya ghar mein ya job wali jaga ya phir shop mein ya apni gari mein takay dushmano ki nazar e bad, hasad, jadu aur bhi kai andekhay mokhfi bad asrat say bacha jasakay.

Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekin Yahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com


Naqsh Hifazat Jan:
Yeh naqsh har baray chotay, muslim wa gayr muslim ko dia jasakta hai, har bala wa mosibat say bachata hai, asyab ya kalay jadu ka asar ho ya dushman jan kay darpay hon to is naqsh ko pehna jay.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR


Naqsh Nafah Tejarat:
Yeh naqsh pocket mein rakha jay ya shop mein samnay kay rokh mein ainay kay andar laga lay takay har anay janay walay ki nigah is par paray, inshAllah shop mein customer ziada ay ghay aur bohat monafah hoga, chahain to is naqsh ko kapray kay pouch mein see kar rakam ki tejori mein rakhain, yeh naqsh tajiron aur dokan daron kay liay bohat zarori hai, iskay honay say tejarat aur dokan mein khair wa barkat rehti hai.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Naqsh Saifi:
Yeh naqsh hazrat Ali a.s say mankol hai, jinn, asyab, sehar, om al-sobian aur dushman ko hilak karnay, dushman ko zer karnay mein apni misal aap hai, jis shaks kay pas hoga os par kisi kisam ka jadu wagayra asar nahi karay ga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR



Naqsh Takseer Jana mah Makhmas:
Naqsh takseer jana yehni dushman kay hamlay ko tornay wali dhal, iskay bohat say fawaid hain, agar kisi baray shaks jis kay samnay janay say khof malum hota hoto os waqat is tawez ko pani say dho kar woh pani apnay hathon aur apnay chehray par mal lay aur baqi pani pe lay aur reshmi romal mein jis mein ittar laga ho, is mein lapait kar pocket mein rakh kar hakim ya baray afsar kay samnay jay, mokadmay ki jeet kay liay bhi yeh bohat mofeed hai, bozrogon nay is naqsh say bohat kam liay hain,
Is naqsh kay sath mahet al-israr bhi hai, naqsh jana ka sath agar mahet al-israr bhi hoto is naqsh kay itnay faiday hain kay agar likha jay to aak achi khasi kitab ban jay, baray baray aham mamlat mein, makasad hon ya bimari jo kisi ko samaj na aati ho ya sehar wa jadu kisi dushman nay kara dia ho, ya kisi kisam ka asayb wagayra hoto yeh naqsh istamal karay, jiskay pas yeh naqsh hoga amra, badshah, olma wa fakra kay han izat hasil ho aur onka aziz ho, naiz shiateen kay shir aur zalimo kay zolam aur naghani mot aur har kisam kay asayb, deo, pari say aman mein ho aur kisi ka mohtaj na ho aur humaysha apnay maksad mein kamiab ho,
In sab fawaid kay ilawa yeh naqsh apni baat dosron say manwanay mein baynazir hai, qarz ki wasoli, mokadma ki kholasi kay liay bohat asar wala hai, yeh naqsh mia biwi ki apas mein muhabat kay liay bhi akseer hai.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR



Naqsh Chhar Kol:
Yeh naqsh har kisam kay sehar aur nazar bad ko dor karnay mein mojrab hai, isko galay mein pehna jay, inshAllah har bala wa asyab wa jadu wagayra say mehfoz rahai ga, azmoda aur tajorba shoda hai, aap bhi is say faida otha ay.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh Tohfa e Noori:
Yeh 17 naqosh ka majmoa hai, iskay ak side par takseer jana, center mein mahet al-israr sharif konda kia hua hai, is naqsh e muqadas ko apnay pas rakhnay wala humaysha sarkhoro rahai, har qadam kamiabi wa kamrani kay sath ho, makan wa dokan har zameni wa asmani afaat say mehfoz rahai, rozi wa rozgar mein barkat ho, pocket ya pars mein is naqsh ko har waqat apnay sath rakhna chahehai.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR



Naqsh e dafa jinn wa asyab:
Yeh naqsh jinn wa asyab kay har mariz kay liay mofeed hai, yeh naqsh mariz apnay pas rakhay aur rozana iska pani dho kar piay, inshAllah shifa milay gi.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR


Naqsh Hifazat teer wa tafang:
Is naqsh kay akhri khanay mein nam mah walda ka nam likha jay, phir istamal karay, yeh naqsh jiskay pas rahai ga ospar chori, chaku, goli ya aslaha asar na karay ga aur kisi kisam ka sehar jadu wagayra ospar kargar na hoga, har kisam ki afaat say mehfoz rahai ga, khuhal rahai ga aur har shaks oski izat karay ga.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR

 
Jamah Al-Matlob: 
Is naqsh kay fawaid say kalam ajiz aur ziban kasir hai, akalmand hazrat isi aak naqsh say hazaron kam lay saktay hain, qadardano kay liay yeh aak nayab tohfa hai jiskay hotay hoay kisi dosray naqsh ki zarorat nahi rehti, chand muktasir fawaid yeh hain:
hasol e dolat wa dast e gayb, la ilaj amraz mein shifa, taskheer e khilaiq, har kisam kay dushmano say hifazat, mokablay mein fatah wa nosrat chahai khayl mein ho ya mokadmay mein, mayous umeedwaron mein kamiabi wa kamrani, jis kisi bhi maksad say iska dhoya hua pani pilaya jay woh pura ho, maslan aurat mard ko pila ay to woh kabhi kisi dosri aurat ki taraf mael na ho aur mard agar aurat ko pila ay woh shohar say aak mint joda hona gawara na karay.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR



Naqsh Isma e As hab kehaf:
Yeh khas naqsh kai fazilaton aur barkaton ka hamil hai aur khosusan har kisam kay hamlon say nejat panay kay liay maslan:
jinn wa insan wa haiwan wagayra kay nehait mofeed hai, do doston,
bhaion, behan bhai, mia biwi, ma bayton wa degar akarba, molazim ya malik ya afsar, in tamam afrad kay darmian muhabat kay liay yeh naqsh bohat mofeed hai, is naqsh ko pani mein dal dain aur iska pani ahal e khana ko pila ay to sab mein mael, muhabat wa kholos peda ho.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165

 



Tuesday, September 3, 2013

Healing Talismans for Child (Tawezat e Shifa Amraz e Etfal)

Bimaria ya Amraz zindagi ka hisa hain har shaks apni zindagi mein bimar zaror hota hai aur sahi doctor kay ilaj aur medicine use karnay say sehat yab hokar thek bhi hojata hai, Aur aaj medical science nay yeh sabit kardia hai kay khatarnak bimario kay virus aur germs har jaga mojod hain aur inka hamla kabhi bhi bachay, baray ya bozrog sabi ko kabhi bhi hosakta hai magar humay parayshan honay ki zarorat nahi kai antibiotics medicines milti hain aur kai kabil samajdar doctors bhi mojod hain jo ilaj karna jantay hain, Laykin kuch Bimaria aur amraz aysay bhi hotay hain jo medical science ki samaj say bahir hain jiska ilaj onkay pas mojod nahi, dunia mein kai aysay log hain jinko mamoli bimari hoti hai lekin jab onka medical test hota hai to sab normal ata hai, akhir kuon? aak shaks ko bohat tez fever hota hai oska jism shaded garam hota hai magar thermometer kay test say oski body ka temperature normal ata hai akhir kuon? istarah ki hazaron problems hoti hain jisay dekh kar doctors hazrat kay sar chakra jatay hain aur dosri jaga ilaj karwanay ka mashora day detay hain aur bichara mariz aak kay baad dosra doctor badli karta rehta hai aur bohat sara pesa oska barbad hojata hai aur shifa to milti nahi akhir kar oska marz shidad akhtiar karleta hai aur woh sab ko chor kar mot ki agosh mein chala jata hai, kuon hota hai aysa? akhir kahan jay mariz ilaj kay liay? in sawalat kay jawab medical science kay pas mojod nahi, kuo kay istarah ki bimario aur amraz ka taluk rohaniat say hai aur rohaniat ko medical science nahi manti magar "jahan science khatam hoti hai wahin rohaniat shoro hoti hai",  Medical science nay yeh to easily sabit kar kay bata dia dunia ko kay nazaron say na dikhnay walay germs, bacteria ya virus har jaga mojod hain jiskay hamlay say insan kabhi bhi bimar par sakta hai lekin science nay yeh baat abhi tak dunia ko nahi batai kay nazron say na dikhnay wali aur bhi gaybi asrat hain jo dikhai to nahi detay magar onka reaction aur asar dekha aur mehsos kia jasakta hai, bad asrat insan par lagtay hain kisi ki nazar e bad say, hasad say, jadu say, sitaron ki gardish say, jinnat, asyab ya bad ruh ya saaya kay asrat say etc, koi bhi insan in bad asrat ki lapait mein kabhi bhi asakta hai aur osko wahi bimari hosakti hai jo medical science kay test mein zahir he nahi hoti,  Zamana e qadeem mein jahan bimario ka ilaj dawa say hota tha wahan jharphonk, dua aur tawezat say bhi ilaj hota tha, mariz ko jahan dawa ki zarorat hoti thi wahan dawa, jahan dua ki zarorat hoti thi wahan dua aur jahan TAWEEZ ki zarorat parti thi wahan tawez detay thay, (tawezat kistarah asar kartay hain yeh sab jannay kay liay aap meray blog ka yeh post parhain:http://dawaterohaniat.blogspot.com/2013/05/sacred-healing-bowls.html)
Zamana e Qadeem mein olma e rohaniat nay in gaybi asrat ko dekha, samjha aur mehsos kia aur onkay ilaj kay liay bohat mehanat ki aur aysay tawez aur tilsim bana dalay jo in asrat ko khatam karnay ki salahiat rakhtay hain, onhonay is ilm ko sirf apnay tak he mehdod nahi rakha balkay kitabay likhi takay har insan is say faida hasil kar sakay, magar aaj kay scientific dor mein rohaniat par yakin logon ka khatam hota jaraha hai aur jinko yakin hai magar onkay pas time he nahi kay woh is ilm ko seekh sakain ya koi taweez bana sakain woh khud bhi robot ya machine ban chokay hain apni zati masrofiat mein busy hotay  hain, In sab bataon par meinay ghor kia aur net par pehli bar aysi online shop kholnay ka irada kia jahan har waqat taiyar shoda tawezat mojod hon, jisko jis tawez ki zarorat ho woh order kar kay mangwa lay aur os say faida hasil kar sakay, InshAllah aap sab ki duaon say is kam ko mazeed barhata jaon ga, mujay apni duaon mein zaror yaad rakhiay ga,  Allah pak aap sabi ko khush wa abad rakhay aur har bimari aur marz say bacha kay rakhay (ameen).
Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekinYahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com


Agar Bacha parhnay say bhagay, school janay ya parhai mein oska dil na lagta ho, ma bap ka hokam na manta ho, zidi ya sharir hoto bachay ko yeh naqsh dho kar pilaya jay aur oskay galay mein har waqat pehna rahai, inshAllah bacha theek rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR



Jab bachay ka dood choraya jata hai ya bachay kay dant nikalnay ka waqat aata hai to bachay ko bohat taklef hoti hai, bachay aur ma ka sokh, chan aur neenday raat ko or jati hain aur dono ko bari kashmakash ka samna hota hai, yeh naqsh dho kar bachay ko pilaya jay, inshAllah taskeen ata hogi.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh Gria e Itfal:
Kai bachay sari raat rotay hain aur ronay ka koi khas sabab bhi samaj mein nahi aata, yeh naksh bachay kay galay mein dalain, inshAllah aram rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR


Agar bacha dood na peta hoto yeh naqsh ma kay dood ya daria kay pani say dho kar bachay ko pilaya jay, inshAllah bacha dood penay lagay ga aur ronay say baz rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh Baray e dafa jamoga:
Yeh marz bachon ko aksar hojata hai, bacha rang badalta hai, enthta akharta hai, jabray sakt hojatay hain, yeh naqsh bachay kay galay mein dalay, bacha is mozi marz say nejat pakar inshAllah tandrost hojay ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR



Akseer etfal wa nazar bad:
Bachay ka zid karna, dood na pena, na sona, nazar bad wagayra,
bohat say kamo kay liay yeh naqsh mojrab hai, bachay kay galay mein dalain.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh bara e dafa deo, pari wa sehar:
Yeh naqsh sherkhuwar bachon kay liay hai, is say bacha mehfoz rehta hai, bachay kay galay mein dalay, inshAllah bacha deo, pari aur sehar kay asar say mehfoz rahai ga.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh bara e dafa chichak:
Chichak nikalnay say pehlay naqsh galay mein dalain aur agar chichak nikli hoto yeh naqsh galay mein bandhay jiski barkat say ba asani dhal jay gi, agar qudrat ki taraf say waqat pura na hua hai to ba sehat wa salamat rahai kuon kay aksar bachay chichak mein apni ankhain kho bethtay hain, kai kay haath paon bekar hojatay hain, inshAllah is say mehfoz rahai gay, is naqsh ko dho kar bhi pilaya jay.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165