Thursday, September 5, 2013

Talismans For Protection

Dunia mein har insan ki yahi khuwaish hoti hai kay woh apni zindagi sokh wa chan aur khushali mein gozaray is maksad kay liay woh je tor mehnat karta hai, bhagdor karta hai jitna oskay bas mein hota hai woh sab karta hai, oski zindagi mein kai achay log miltay hain jo farishton ki tarah hotay hain onki madad aur saath say oski zindagi khushal ban jati hai aur jetay je yeh dunia oskay liay jannat ki tarah ban jati hai, aur kabhi aysay boray log bhi miltay hain jo oski zindagi tabha barbad kar kay rakh detay hain aur yeh dunia jetay je oskay liay jehnom ki tarah banjati hai,
"Haalat" chahai achay hon ya boray insan ki zindagi mein bata kar nahi aatay, insan ki zindagi kay haalat kabi bhi badal saktay hain, insan ko bas himat aur hosalay say haalat ka muqabla karna hai, agar oskay achay halaat hain to yeh na samjay kay humaysha yahi achay haalat rahai gay, agar boray halaat hain to yeh na samjay kay humaysha yahi boray halaat rahai gay, Haalat ko samajnay aur oska muqabla karnay kay liay Allah pak nay insan ko zehan dia hai aur kai nishania dunia mein peda ki hain takay insan onko dekhay, ghor karay aur samjhay kay haalat humaysha aak jesay nahi rehtay, jistarah mosam badalta rehta hai isitarah insan kay haalat bhi badaltay rehtay hain, agar aak he mosam humaysha rahai to nizam e dunia tabha hojay, istarah agar aak he haalat insan ki zindagi mein rahai to nizam e insaniat tabha hojay, 
Aap nay aksar choti choti chintio(ants) ko dekha hoga, barishon kay mosam ya sardi kay mosam shoro honay say pehlay he woh khanay ki chezain apnay bil mein jamah karti rehti hain aur itna kuch jamah kar leti hain kay saray mosam mein apnay bil mein bina kahin niklay mazay say beth kar khati hain, khuda nay itni choti chonti ko akal di hai kay osay malum hai kay anay wala waqat onkay liay bora hai isliay woh pehlay say he apna bandobast karleti hain, same isitarah insan ko bhi apnay anay walay waqat ka bandobast karna chahehai,
Yeh to baat hoi qudrati haalat ki jo mosam ki tarah insan ki zindagi mein badaltay rehtay hain lekin aysa bhi hota hai kay insan par jab boray haalat aatay hain to badalnay ka nam he nahi letay, insan apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay oskay haalat badal jay magar woh apnay aap ko istarah feel karta hai jesay woh kisi andekhi taqat ya kowat ki qaid mein hai jisnay osay jakar rakha hai jab tak woh is qaid say nahi niklay ga oskay haalat nahi badlay gay,
yeh andekhi kowat dekhai nahi deti magar isay mehsos kia jasakta hai, iski misal deemak ki tarah hai,
Mujay aaj bhi yaad hai meray bachpan ka woh wakia jab mein apnay gao kay haray bharay baag mein khelta tha jahan har taraf ghanay darakt hotay thay khiza ka mosam aata tha to sab darakton kay patay jhar jatay thay aur woh bilkol khushk aur morda lagtay thay, parindon kay gosalay khatam hojatay thay har taraf veerani aur udasi cha jati thi, na parindon ki meethi awaz na titlia dikhai deti thi, sara mahol gham aur udas sa nazar aata tha, lekin jab bahar ka mosam aata tha to wahi sokhay darakt haray bharay hojatay thay on mein phol aur phal ajatay thay, parinday onpar lot kar aatay thay, tetlia har taraf nazar anay lagti thi, har taraf pyar bhara mahol dekhnay ko milta jesay dekh kar rooh khush hojati thi, osi baag mein mujay aysa darakt bhi tha jo bohat hara bhara aur ghana tha hum sab wahan bachpan mein kheltay thay lekin phir woh ahista ahista khushk honay laga, pehlay aak tehni khushk honay lagi oskay patay jhar ghay phir dosri tehni phir tesri istarah ahista ahista woh khatam honay laga, kisan nay har mumkin koshish ki osay hara bhara rakhnay ki, achi matti dali,khob pani dia, keeray mar spray saray darakt par karwaya magar koi faida na hua, oska marz kisi ko samaj mein he nahi araha tha kay akhir waja kya hai jo yeh istarah khushk hota jaraha hai, akhir ak din woh pura khushk hokar bilkol khatam hogaya, aak din mein apnay cousin kay sath osi darakt par tayk laga kar batain kar raha tha kay meray bazo ki koni os sokhay darakt mein dhans gai, meinay jab darakt ko daba kay dekha to woh andar say khokhala tha, meinay osmein hole kia to matti kay sath deemak nikal ai, aab meri samaj mein baat ai kay yeh deemak thi jo ahista ahista is darakt ki pehlay jaraon ko khati rahi phir andar he andar is puray darakt ko he chaat kar kha gai, zahir mein to bilkol malum na hua na kisan ko na kisi aur ko,
Same isi darakt he ki tarah jab insan par sakti aati hai chahai woh dushman kay kalay jadu ki waja say ho, jinnat wa asayb, saaya ya bad ruh ki waja say ho, nazar e bad ya hasad ki waja say ho ya sitaron ki gardish ki waja say ho, ya kisi ki bad dua say ho wagayra to insan bhi same isi darakt ki tarah hojata hai, jistarah darakt ki pehlay aak tehni khushk hoti hai phir dosri ki bari aati hai phir tesri same isitarah pehlay insan ki job mein maslay hotay hain, phir rupay pesay mein sakti ajati hai, phir family mein, phir doston yaaron mein, phir oski sehat par hamla hota hai, woh insan darakt ki tarah andar say bilkol khokhla sa hojata hai oskay bas kuch nahi rehta, saktia osay deemak ki tarah andar he andar slowly osay har chez say mehrom kar deti hain,
Yeh bad asrat ki waja say honay wali saktia bhi rohani amraz ya bimaria hain, jistarah doctors tarah tarah ki chezon jesay janwaron kay organs, jari botia aur chemicals ko apas mein mila kar antibiotics medicine banatay hain same isitarah zamana e qadeem say lekar aaj bhi olma e rohaniat tarah tarah kay tarikon say aysay taweez aur naqsh banatay hain jo bad asrat ki waja say honay wali sakti kay liay akseer hain, in taweez aur naqsh kay istamal say bad asrat wali kowaton say os insan ko azadi mil jati hai jo in kowaton ki qaid mein hota hai jiski waja say har jaga bandish see par jati hai oski zindagi mein,
Samajdar insan wahi hai jo pehlay say apna bandobast kar kay rakhay takay in bad asrat say bacha jasakay, yahan mein kuch azmoda taweez aur naqsh upload kar raha hon jo protection yehni har kisam kay bad asrat ki hifazat kay liay hain, in taweez ya naqsh ko aap apnay pocket mein rakhain ya ghar mein ya job wali jaga ya phir shop mein ya apni gari mein takay dushmano ki nazar e bad, hasad, jadu aur bhi kai andekhay mokhfi bad asrat say bacha jasakay.

Note: Kai naqsh aur tawezat say kitabay bhari hoi hoti hain jin mein kai naksh galat bannay hotay hain lekin Yahan jo taweez ya naqsh meinay upload kiay hain yeh sabi khas aur azmoda hain aur khas din aur waqat par taiyar shoda chandi kay bareek patray par konda(engraved) hain, jis naqsh ya taweez kay neechay "ritualized charged" likha hai iska matlab kay yeh naqsh aur oski rohaniat taskheer ki hoi hai aur naqsh taiyar karnay walay ki ijazat kay sath hai, bina taskheer kia naqsh wa taweez ya bina ijazat wala naqsh ya taweez asar nahi karta. Agar aap kay pas koi bhi taweez ya naqsh kisi bhi metal par bana ho aap osay mujay dekar oskay badlay koi sa bhi naqsh muj say lay saktay hain, ya agar aap kay pas koi naqsh hai aur osay aap kisi bhi metal par konda ya engraved karwana chahatay hain khas waqat aur din par to muj say rabta kar kay aap apna khas naqsh banwa saktay hain, mazeed malumat kay liay aap mujay meray is number par sms ya call karain: 03003799165 ya e-mail karain: ali_pirzada@yahoo.com


Naqsh Hifazat Jan:
Yeh naqsh har baray chotay, muslim wa gayr muslim ko dia jasakta hai, har bala wa mosibat say bachata hai, asyab ya kalay jadu ka asar ho ya dushman jan kay darpay hon to is naqsh ko pehna jay.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR


Naqsh Nafah Tejarat:
Yeh naqsh pocket mein rakha jay ya shop mein samnay kay rokh mein ainay kay andar laga lay takay har anay janay walay ki nigah is par paray, inshAllah shop mein customer ziada ay ghay aur bohat monafah hoga, chahain to is naqsh ko kapray kay pouch mein see kar rakam ki tejori mein rakhain, yeh naqsh tajiron aur dokan daron kay liay bohat zarori hai, iskay honay say tejarat aur dokan mein khair wa barkat rehti hai.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Naqsh Saifi:
Yeh naqsh hazrat Ali a.s say mankol hai, jinn, asyab, sehar, om al-sobian aur dushman ko hilak karnay, dushman ko zer karnay mein apni misal aap hai, jis shaks kay pas hoga os par kisi kisam ka jadu wagayra asar nahi karay ga.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR



Naqsh Takseer Jana mah Makhmas:
Naqsh takseer jana yehni dushman kay hamlay ko tornay wali dhal, iskay bohat say fawaid hain, agar kisi baray shaks jis kay samnay janay say khof malum hota hoto os waqat is tawez ko pani say dho kar woh pani apnay hathon aur apnay chehray par mal lay aur baqi pani pe lay aur reshmi romal mein jis mein ittar laga ho, is mein lapait kar pocket mein rakh kar hakim ya baray afsar kay samnay jay, mokadmay ki jeet kay liay bhi yeh bohat mofeed hai, bozrogon nay is naqsh say bohat kam liay hain,
Is naqsh kay sath mahet al-israr bhi hai, naqsh jana ka sath agar mahet al-israr bhi hoto is naqsh kay itnay faiday hain kay agar likha jay to aak achi khasi kitab ban jay, baray baray aham mamlat mein, makasad hon ya bimari jo kisi ko samaj na aati ho ya sehar wa jadu kisi dushman nay kara dia ho, ya kisi kisam ka asayb wagayra hoto yeh naqsh istamal karay, jiskay pas yeh naqsh hoga amra, badshah, olma wa fakra kay han izat hasil ho aur onka aziz ho, naiz shiateen kay shir aur zalimo kay zolam aur naghani mot aur har kisam kay asayb, deo, pari say aman mein ho aur kisi ka mohtaj na ho aur humaysha apnay maksad mein kamiab ho,
In sab fawaid kay ilawa yeh naqsh apni baat dosron say manwanay mein baynazir hai, qarz ki wasoli, mokadma ki kholasi kay liay bohat asar wala hai, yeh naqsh mia biwi ki apas mein muhabat kay liay bhi akseer hai.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR



Naqsh Chhar Kol:
Yeh naqsh har kisam kay sehar aur nazar bad ko dor karnay mein mojrab hai, isko galay mein pehna jay, inshAllah har bala wa asyab wa jadu wagayra say mehfoz rahai ga, azmoda aur tajorba shoda hai, aap bhi is say faida otha ay.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR

Naqsh Tohfa e Noori:
Yeh 17 naqosh ka majmoa hai, iskay ak side par takseer jana, center mein mahet al-israr sharif konda kia hua hai, is naqsh e muqadas ko apnay pas rakhnay wala humaysha sarkhoro rahai, har qadam kamiabi wa kamrani kay sath ho, makan wa dokan har zameni wa asmani afaat say mehfoz rahai, rozi wa rozgar mein barkat ho, pocket ya pars mein is naqsh ko har waqat apnay sath rakhna chahehai.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR



Naqsh e dafa jinn wa asyab:
Yeh naqsh jinn wa asyab kay har mariz kay liay mofeed hai, yeh naqsh mariz apnay pas rakhay aur rozana iska pani dho kar piay, inshAllah shifa milay gi.
With Ritualized Charged, Price: 1500/- PKR


Naqsh Hifazat teer wa tafang:
Is naqsh kay akhri khanay mein nam mah walda ka nam likha jay, phir istamal karay, yeh naqsh jiskay pas rahai ga ospar chori, chaku, goli ya aslaha asar na karay ga aur kisi kisam ka sehar jadu wagayra ospar kargar na hoga, har kisam ki afaat say mehfoz rahai ga, khuhal rahai ga aur har shaks oski izat karay ga.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR

 
Jamah Al-Matlob: 
Is naqsh kay fawaid say kalam ajiz aur ziban kasir hai, akalmand hazrat isi aak naqsh say hazaron kam lay saktay hain, qadardano kay liay yeh aak nayab tohfa hai jiskay hotay hoay kisi dosray naqsh ki zarorat nahi rehti, chand muktasir fawaid yeh hain:
hasol e dolat wa dast e gayb, la ilaj amraz mein shifa, taskheer e khilaiq, har kisam kay dushmano say hifazat, mokablay mein fatah wa nosrat chahai khayl mein ho ya mokadmay mein, mayous umeedwaron mein kamiabi wa kamrani, jis kisi bhi maksad say iska dhoya hua pani pilaya jay woh pura ho, maslan aurat mard ko pila ay to woh kabhi kisi dosri aurat ki taraf mael na ho aur mard agar aurat ko pila ay woh shohar say aak mint joda hona gawara na karay.
With Ritualized Charged, Price: 4000/- PKR



Naqsh Isma e As hab kehaf:
Yeh khas naqsh kai fazilaton aur barkaton ka hamil hai aur khosusan har kisam kay hamlon say nejat panay kay liay maslan:
jinn wa insan wa haiwan wagayra kay nehait mofeed hai, do doston,
bhaion, behan bhai, mia biwi, ma bayton wa degar akarba, molazim ya malik ya afsar, in tamam afrad kay darmian muhabat kay liay yeh naqsh bohat mofeed hai, is naqsh ko pani mein dal dain aur iska pani ahal e khana ko pila ay to sab mein mael, muhabat wa kholos peda ho.
With Ritualized Charged, Price: 2000/- PKR


Order karnay kay liay aap muj say e-mail, whatsapp ya viber kay zariay rabta kar saktay hain:
E-mail: ali_pirzada@yahoo.com
Whatsapp & Viber: +92 03003799165